Re: Word of the Week - Sehra, Pyas, Saraab
merey humdam..mere sathi..
agarchay tay huwa tha kab?
k tum say hum juda ho kar..
umar k kaghazoN maiN rang bharna bhool jayeN gay..
tumharay hijr k maray..
khushi k rasty pe paooN dharna bhool jayeN gay..
yeh ankhaiN hijr k taptay huwey sehra maiN gum ho kar
kisi piyasay ki manind wasl ki boondoN ko tarsaiN gi…
shahaabi rangatoN maiN zardiyaN ghul jayeN gi aisay
k phir yeh phool meri jaaN mehakna bhool jayega..
khizaN mausam agar aya…palatna bhool jayega..
na pehlay say raho gay tum
na yeh chahat na sarshaari..
magar dil maiN koi jazba… koi mohoom sa jazba
musalsal yeh batayega…
“muhabbat thi, muhabbat hai..”
agarchay tay huaa tha kab?
tumharay ba’d yooN hoga..
k hum jeena na chahaiN gay..
magar jeenay ki khatir
umr ka israr bhi hoga..
tumhaiN dil say bhulana
is qadar dushwar bhi hoga..
kaho humdam.. kaho kuch to..
agachay tay nahiN tha yeh…
to phir kaisa hai yeh jadu?
k dil maiN naqsh hai ab tak
tumharay piyar ki khusbu..
nazar maiN dafn haiN ab tak
tumharay naam k aansu
Re: Word of the Week - Sehra, Pyas, Saraab
yehi samandar jo saahilon ki
haddon kay andar
ubal rahay hain
kabhi agar in ki teh mai jhaanko to
moj-e-saakin, saraab-e-raqs-o-sur-o-naghma
yahaan say lay kar wahaan talak bas sakoot-e-tanha
koi bhi shikva-rasaa nahi hay
afsurda chehron, udaas aankhon ki dastaanain
gali gali mai
khmoshiyoon ko jaga rahi hain
meri udaasi hay bay-zubaani
meri udaasi kahaan nahi hay
Re: Word of the Week - Sehra, Pyas, Saraab
Nice sharing fari :k:
koi khwab hai k sarab hai
kahen roz-0-shab ke madar main
kahen ratjagon k shumar main
kahen titliyon k ghubar main
kahen chashm-e-nam k kinar main
koi khwab hai k sarab hai
jo dil-0-nigah k darmiya meri agahi ka nisab hai
koi khwab hai k sarab hai
jo dil-0-nigah ki zad main aa k bhi door hai
jo mery talism-e-khyal main
jo mery aaroj-0-zawal main
kisi unkahi ka zahoor hai
kahen door hai
koi khwab hai k sarab hai
Re: Word of the Week - Sehra, Pyas, Saraab
Ye zindagi ik tashnagi…
Kaheen main nahi
kaheen tum nahi.
kaheen apna naam o nishaan nahi!
Isi zindagi k saraab main,
hamain apna aap mila nahi..
chalay raat bhar..jalay dhoop main!!
magar manzilon ka pata nahi…
raah e hayaat ki dhool nay…
sab lay liya, kuch diyaa nahi…
yehe silsala hai hayaat ka..
kaheen main nahi..
kaheen tum nahi…
kaheen apna naam o nishaan nahi…
ye zindagi ik tashnagi
Re: Word of the Week - Sehra, Pyas, Saraab
Hum Dasht K Baasi Hain Ay ShehR K LoGoYe Rooh Pyasi Humyn WIRSAY Men MiLi hy
Dukh DaRD Se SaDyon Ka Ta’aLLuQ hy HMaRaAankhon Ki uDasi Humen WiRSaY men MiLi hy
JaaN Daina Riwayat hy QBeeLay Ki HamaryYe Surkh LiBasi Humen WiRSaY men MiLi hy
Jo Baat B Kehty Hain UtaR Jati hy DiL menTaseeR JuDa C Humen WiRSaY men MiLi hy
Jo Hath B ThaMa hy SDa Sath Rhy hainAHBAB SHANASI Humen WiRSaY men MiLi hy
Re: Word of the Week - Sehra, Pyas, Saraab
Restored attachments:
Re: Word of the Week - Sehra, Pyas, Saraab
Maine ye soch ke boye nahin khwabon ke darakht
Kon sehra main lage paed ko pani de ga