word catch from shair

jigar ho jae ga chalni,yeh ankhain khoon roein gein
wasii be-faiz logon sey nibah key kuch nahii miltaa

Akhri baar jo aya tha mere naam **wasi**
* Main ne uss khat ko kalejay se laga rakha hai*

Re: word catch from shair

aaj lagta ha k tu ne phir se socha ha mujhe..!!
likh rahii hain ungaliaan **naam **tera deewar pey
tm yu kashif umer bhar pagal k pagal he rahey
raaqs kartaa ha zamana hr nayii jhankaar pey

Yak nazar baish nahi fursat-e-hasti ghafil
Garmi-e-bazm hai ik **raqs-e-sharar hone tak

Re: word catch from shair

wo aye bazm ma itma tu meer ne dekha
phr us ka bhd chiraghon ma roshni na rahi

**Mir* ke sher ka ahwal kahon kya Ghalib*
jis ka deewan kam-az gulshan-e-kash-mir **nahi

Re: word catch from shair

Yeh misaiil-e-tasawwuf, yeh tera biyaan **Ghalib
**tujhey ham wali samajhtey jo na badah'khawar hota

**Tere gham apni jaga, Dunya ke gham apni jaga
Phir bhi apne ehad par, qaim ham apni jaga
-
**Kya karain yea Dill kisi ki nasiha sunta nahi
Ap ne jo kuch kaha, ay mohtaram, apni jaga
-
**Ham mowahad hain, button ke poojnay walay nahi
Par khuda lagti, kahin to wo sanam apni jaga
-
**Ay yaar-e-be parwa, kabhi ham ne koi shikwa kiya?
**Haan magar in na-sippas ankhon ka nam apni jaga
-
**Mehfil-e-janan ho, maqtal ho, ke mekhana Faraz
Jis jaga jain, bana letay hain **ham, apni jaga.
---

Re: word catch from shair

Aadam ki kisi Roop main tehqeer na kerna....!!
phirta hai zamany main Khuda bhais badl kay.

Wo ashaq ban ke meri chasham-e-tar main rehta hai
Ajeeb shakhas hai, pani ke ghar main rehta hai

Wohi to meri shab-e-gham ka ik payam-bar hai
Wo ik sitara jo chasham-e-sehar main rehta hai

Jo mere hontton pe aye to gun-gunaon usay
Wo sher ban ke bayaz-e-nazar main rehta hai
**
Guzarta waqt mera gham-gusar kya ho ga
Wo khud ta-aqub-e-sham-o-sehar main rahta hai

Mera hi aqas hai, tu ghor se ager dekhay
Bagola sa jo teri rah-guzar main rehta hai
**
Na janay kon hai jis ki talash main Bismil
Har aik saans mera ab safar main rahta **hai.**
---

Re: word catch from shair

AAnkhon ka rang baat ka lehja badal gaya
Wo **shakhs **aik shaam main kitna badal gaya
Shayad wafa k khel se uqta gaya tha woh
Jo manzil k pass ate hi rasta badal geya

As the title says, please post Shair and Not the complete Ghazal.