word catch from shair

ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chhor ke jaane ke liye aa

Re: word catch from shair

*Kis kis ko batayenge judaee ka sabab hum Tu mujh se khafa hai tau zamanay ke **liye** aa ...*

Yun hi nahi mashor-e-**zamana **qatil meraa
us qatil ko is fan main mahart bhi bohat hai

Re: word catch from shair

*Yaaroon kisi **qatil** se kabhi pyar na maango Apne hi galay ke leye talwaar na maango ...*

Ada Qatil, Bayan Qatil, Zuban Qatil, Nigah Qatil
Tumhara silsilla shayad kisi Qatil se milta haiiiiiiiii.

Uski ek ek ada-se jhalakne laga hai pyar
Jub mujhe aitbar ki aadath nahin rahi…

Re: word catch from shair

Aitbaar karna hai
intezaar karna hai
door door reh ker bhi
hum ko pyar karna hai

Re: word catch from shair

Na jaane kab ka pohanch bhi chuka sar-e-manzil
Woh shaks jis ka humein intezaar raah mein hai …

bichraa kch is adaa se k rutt he badal gae
aik shakhs sarey shehr ko veeran kar gea

Re: word catch from shair

Aata hai khayaloon mein tau sonay nahe deta
Woh shaks jo baahoon ke bichonay nahe deta …

Re: word catch from shair

Nazar Nazar main aday-e-Jamal rakhte thay
Hum aik shaks ka kitna khayal rakhte thay

Re: word catch from shair

Khayaloon mein kisi ke chupke se aya nahe kartay
Jo thukraye gaye ho un ko thukraaya nahe kartay …

Re: word catch from shair

Khayal-e-yaar salamat tujhay khuda rakhay
Tere baghair kabhi ghar main roshni na hwi

Gay thay ham bhi Jigar jalwa gah-e-jana main
Wo poochtay hi rahay ham se baat bhi na hwi

Re: word catch from shair

Yun Toh hr Shaam Ummido Mein Guzr Jati Hai
Aaj Kuch Baat Hai Jo Shaam Pe Rona Aaya

Re: word catch from shair

Hamain to gardish-e-haalat pe rona Aaya*..
Ronay walay tujhay kis ***baat ***pe *rona Aaya

Re: word catch from shair

Aap kehtay thay ronay se na badlenge naseeb
Umer bhar aap ki is baat ne ronay na diya …

Re: word catch from shair

Ajj kiu ansoo ke youn aye nigah-e-naaz main
Aap to kehtay thay ke pathar kabhi rotay nhi

Re: word catch from shair

**aansuu **hansii hansii ma nikal aye kyun faraz
bethey bathaye kon se gham yaad aa gae…

Re: word catch from shair

***Yaad *uss ki itni khoob nahi MIR baaz A
Naadan phir wo ji se bhulaya na jay ga.

Re: word catch from shair

Aaya hee tha khiyal k aankhein chalak parein
Aanso kisi ki yaad say kitna qareeb thay..