Re: Woo bhi kyaa dinn thaay
Chaandni kon wali? chaandni bar wali ? ![]()
wo to aik bahana tha… asal main unn ko apna romaal bhijwaana tha ![]()
bass idhar nishaana taaka unn kay abbaa ki tind ka aur bass poora ugaaldaan ugal dia…
aisa lagta tha jaisay unn kay abbaa ki tind nai balkay koi bhains colony ki halaal karnay ki jagah ho…
Kenya, eithopia and ugainda kay naqshay to main nay kai dafa khud daikhay unn kay abbaa kay sufaid barrq kurtay aur pajamay par…
kai dafa dil chaha k jakar pooch loon k ’ Chacha Orangi Tunnia ko kittay number ka taanga jaata hay’ …
lekin khud apnay hi paan ki peek ko unn kay moonh main jaatay daikh kar himmat na howi ![]()