**woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi **
**keh dhoop cHayoN ka alam raha,judaai na thi **
**na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal **
**sHab`e firaq kabhi hum nay yuN ganwayi na thi **
**mohabbatoN ka safar is tarha bhi guzra tha **
**sHikasta dil thay musaafir sHikasta paayi na thi **
**adawateiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN **
**bicHaRhnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi **
**bicHaRhtay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal **
**gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi **
**kabhi yeh haal keh donoN maiN yakdili thi bohat **
**kabhi yeh marhala jaisay keh asHnayi na thi **
**ajeeb hoti hay rah`e sukHan bhi dekh Naseer **
wahaN bhi aa gaye akHir jahaN rasayi na thi !!!