teRay naam ki thei jo roshni isay khud tu ne bhuja dee’ya
na jala saki jisay dhoop b usay chandni ne jala dee’ya
**
maiN hooN gardishoN maiN ghira huwa mujay ap apni khabaR nahi
wo jo shaks tha meRa rah-numa usay raa’stooN ne ganwa dee’ya
**
wo jo teri nazar maiN ajeeb tha wihi shaks teRa habib tha
teRay haath ki wo lakeeR tha usay haath se he mita dee’ya
**
mujhay ishq hai k janooN hai ye abhi faisla nahi ho sakaa
mera naam zeenat-e-dasht tha mujay aa’ndioN ne mita dee’ya
**
udaa’sioN ka jamal hai k hamaRa auj-e-kamal hai
kabhi zzat se bhi chupa lee’ya kabi shahr bhaR ko bata dee’ya
**
meray moasmooN meRi umeR ka abi pura baagh khila na tha
wo jo phool they teRi chah k usay zaRd ruut ne giRa dee’ya
**