**
rasm e dunyaa bhii hai, mauq’a bhii hai, dastoor bhii hai
dil kii baat kahne ke liye isse achchhaa aur behtar mauq’a aur kaun saa ho saktaa hai!..magar…kabhi aisa bhi to hotaa hai k baat kah dene se baat paraayii ho jaatii hai aur apne paraaye ho jaate haiN
hijr-e-yaar se le kar visaal-e-yaar tak kii sabhii manaazil saKht aur dushwaar kun haiN … abhii saaHil kii maujoN ke thapeRe sahne kii himmat nahiiN ![]()
kuchh mauj-e-hawaa pechaaN, ai “Meer!”, nazar aayii
shaayad k bahaar aayii, zanjeer nazar aayii ****![]()
**