kafi sari…maslun..hmmm zyada tar jagjit ki.. tum itna jo muskura rahey ho…aur sham se ankh mein…hmm aur hoonton se cho lo tum hmm..aur bhi kuch theen.. aur mein ne sunni bhi aur yeh bhi kia… control hi nahi howa…rona pada..na chahte howey bhi
acha kis waqt online they? mein ne tu nahi dekha? choroon ki terha kyun aye they…kuch chori kia hai chor
haye hayeeee sari sham eik sath they..aur dono sahi salamt wapis bhi aa gaye.. …yeh tu mujhe maloom tha k aap logoon ne walk per jana hai per yeh nahi pata tha k sahi salamat wapis bhi aa jayein gay..
aur waise walk per jo gaye so gaye..kuch faida vaida bhi howa ya pichli dafa ki trha phir kha vaa kar aa gaye..aur sari walk ka hashr kar diya
acha aap kaise itni jaldi samajh gaye?? mein ne tu suna tha k aqalmund ko ishara kafi hota hai..per kabhi yeh nahi suna k Mental logoon k liye eik speech kafi hoti hai …yeh baat kab ijaad howi?? per khair chalo aap ko bhi mubarak ho aap bhi Mentaloon ki list mein aa gaye hain..aao ji aao..welcome shelcome…Daagh aur Mr. Kamo k peechey khade ho jao..woh aap k bhi sardar hain..
aur acha kia yeh decide kar k k aap apne ‘gumshuda’ dimagh per zoor nahi dein gay..shabash..chalo koi tu samjhdari ka kaam kia… :k:
aur elections mein kia khade hona…bina khade howey hi jeet gaye hain..tu khade ho kar thuk jaoun gi na..hum tu beithain beithain jeet gaye…
haan haan appreciate tu karna hi tha na…rehm dil jo hoon.. :Pretty: per is ka mutlub yeh bilkul bhi nahi hai k aap theek ho gaye hain..na na :nono: abhi bhi aap Mental hi hain… theek tu shayad hi hoon..bus umeed hi hai sirf, woh bhi is liye k log kehte hain k umeed pey dunya kayam hai..
oh wah rey…aap itne farmabardar kaise ho gaye forun baat man li.. aur abhi upload bhi kar rahey hain wah reyy.. Kamo eik kaam tu karna zara daagh ji ko ja kar pinch karna woh kahin so tu nahi rahey ya Daagh ji k ander kissi sharafat hussain ki aatma tu nahi ghuss gaye.. hayee bechari aatma, kia beet rahi hogi us per
oh 11 baje tu hum aram farma rahey they… khwab e khargosh mein they… hum apni neend ko jo k itne mushkil se ati hai aise hi thodi jane deytey..ab aye hi thi tu thoda lihaz tu rakhna hi padta hai na mehmanoon ka..waise bhi kuch hi ghantoon ki mehmaan hoti hai..
haan wohi tu mein bhi soochon..k agar B’ham mein hote aur yahan walk karte tu yahan ki police tu kafi strict hai..Mental logoon ko sadak per dekhte saath hi bund kar deyti hia..wapis Mental hospital ley jati hai, hamare hukam se..hum hi ne yeh azeem silsila yahan shoro kia hai, kafi Mental badh gaye they tu mein ne soocha yeh kar k kissa hi muqao ..tu agar aap yahan hotey tu wapis shayad hi jaa paate..
per mujhe heraani is baat ki ho rahi hai…k Mr. Daagh aur Mr. Kamo dono hi eik saath they…aur eik dosre ko dekha bhi hoga …tu mein yeh sooch rahi hoon k aap logoon ko dar nahi laga dekh kar eik dosre ko..
oh haan rabia shayad aadat hi ho gaye hogi..aur waise bhi aaina dekhte dekhte himmat tu bandh hi gaye ho gi
aap is liye karo pinch kyun k mein ne kaha hai agar na kia na tu … Uff ab yeh bhi nahi keh sakti k khud hi samajhdar ho samajh jao gay … tu dialogue change karna pade ga..haan tu agar na kia na tu khud tapkne ki tayyari kar lo..
aur mujhe pinch karne ki himmat kissi mein nahi hai… aur aap tu yeh khiyal apne dimagh oh hooo dimagh kahan se aa gaya…yeh khiyal bhi apne khali sar se nikal do..
aur agar Daagh ji per aap ka asar bhi ho gaya tu tu busssss… pehle hi Mental they ab tu Aala Mental ho gaye hoon gay..
Daagh itni khush fehmi mein mut rahein k aap aise hi they…lo bhalla.. meri sohbat mein theek ho rahey hain tu sara credit khud ley liya
waise mujhe badi herat ho rahi hai…k aaj sare itne samajhdar kaise ho gaye hain…ab jaise Daagh ji itne farmabardar ho gaye…aur Kamo bhi..unho ne apni sig. change kar li mein ne abhi dekha hai..