Where are you ...

:salam: vivoo ..

umrahh mubarak hoo .. :flower1: ..

aur kya haaal chaal hainn ? woh nazar nai aarayy .. :rotato: ..

hello WiseGuy :wave:

mein theek hoon, aap kaisey hain?
aur kuch nahi ho raha, bore ho rahi hoon.. shuker kiya k aap nazar aaye :smiley:
thanks

wsalam kaise ho?

thanks so much.. suna hay k tum bhi gaye thay umrah kerney, tum ko bhi mubarak ho :flower1:

haal chaal buss theek hai, flu hay :smiley:
woh koun? :expressionless:

Hello, mai tu acha hoon :slight_smile:
Bas yahan bhi kuch nahee ho raha, abhi apple kha raha hoon.
Hum kuch din kay leay vacations per thay, last week wapis aaye hain.
Aur aap sunaain koi nai taazi?

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Hello, mai tu acha hoon :)
Bas yahan bhi kuch nahee ho raha, abhi apple kha raha hoon.
Hum kuch din kay leay vacations per thay, last week wapis aaye hain.
Aur aap sunaain koi nai taazi?
[/QUOTE]

oh acha sahe sahe..

aur kiya sunaoon.. kuch bhi tou nahi hay.. mein bhi 11 days baad aaye hoon, umrah per gaye thee...

haan gaya tha .. shukrea aap ka .. :flower1: ..

woh sharartii uncle .. :wink: ..

BS- oh acha sahi :k:

aur kya ho raha hay?

[QUOTE]
Originally posted by ** Vivacious ***: *

oh acha sahe sahe..

aur kiya sunaoon.. kuch bhi tou nahi hay.. mein bhi 11 days baad aaye hoon, umrah per gaye thee...
[/QUOTE]
Wah Masha Allah!, ab aap dua keejeay hum bhi jald hee Umra aur phir uskay baad Hajj kee bhi sa'adat haasail ker lain. Insha Allah.

kamaal hai baajii aap itnii jaldi bhool gayaee .. :bummer: ..

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Wah Masha Allah!, ab aap dua keejeay hum bhi jald hee Umra aur phir uskay baad Hajj kee bhi sa'adat haasail ker lain. Insha Allah.
[/QUOTE]

inshaAllah zaroor keroon gi :)

:salam:

Hello Guyz :wave:

w/salaam BeWaQooF :wave:

Thanx WG :slight_smile:

How R U Today ? :k:

You are welcome BeWaQooF
I am fine, Alhamdo Lillah?
Aap kaisay ho?

I M Also Fine By Grace Of Almighty ALLAH :swt:

So Aaj Ka Din Kaisa Raha U Ka ? :wink:

Ya U Dunya K Kisi Aisay Khittay Mein Rehtay Ho Jahan Abhi Din Start Hi Hua Hai :bummer:

Masha Allah, sunker khushi hui keh aap theek thaak ho…
Day acha guzar raha hai Alhamdo Lillah
Din shuru bhi ho gaya aur ab tu kafi sara guzar bhi chuka hai. Zohrana chal raha hai filhaal. :yummy:
Aap sunaao kia ho raha hai?

:mash:

Zohrana Karnay K Baad Qeloola Karna Mat Bhoolna :smiley:

Mera To Din Guzer Chuka Kab Ka, Or Bas So So Hi Guzra, Abhi Raat K 10:00 Baj Rahay Hain Yahan Par Or Bas Ab Kuch Dair Mein Sonay Ki Tayyari Karonga Mein :yawn:

Aray Bhai jee kaisa Qeloola yahan work per is baat kee qat’an ijazat nahee hai. :frowning:
Mai pooray week kay Qeloolay weekend per ker leta hoon. :stuck_out_tongue:
Acha itni jaldi so rahay, chalo theek hai. Shabba Khair aur meethay sapnay. :slight_smile:

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Aray Bhai jee kaisa Qeloola yahan work per is baat kee qat'an ijazat nahee hai. :(
Mai pooray week kay Qeloolay weekend per ker leta hoon. :p
Acha itni jaldi so rahay, chalo theek hai. Shabba Khair aur meethay sapnay. :)
[/QUOTE]

:D

Koi Gal Nahi Badshaho Weekend To Mil Jati Hai Na ;)

Haan Yaara Kal Mera Paper Hai Is Liye Jaldi So Jaonga Aaj Mein :(

:wave: