Where are you ...

ab aaj k din tu mein ankh kan sab bundh kar k chaloon gi takey na sun sakon na dekh sakon woh gana..:bailan:…per nahi mein kyun ankh kaan bund karoon…UN ka gana aa gaya tu…eek… tu tu Anarth ho jaye ga.. waise abhi abhi mein ne B4u lagaya tha tu Lakshya ka title song aa raha tha..chinnaa chweett..:blush:..

mein ne bataya tha ap ko orange dress ka…tub hi Yeh Meri Life mein Orange dress dekh kar naik khiyalat atey hain aap ko..:halo:..aur mere pass Sony nahi hai …:snooty:..

abhi pata nahi hai k kal jana bhi hai ya nahi..;-)..abhi tu mein un k text ka intezar kar rahi hon..k woh kar k bataye k kal ana hai ya nahi..smack..aur agar ana hai tu kitne baje padharoon..smack..woh aaj ki sadi meintext kar dien..mad..

aur jab mein woh dekh loon gi..tu bata bhi doon gi k mein ne dekh liya hia..us ki chinta nako karo..bus bhejne ki chinta karo :hoonh:..

**hmmmmmmmmmmmmmmmmmm **

:halo:…

hehehehe haan achcha ho ki miss ho jaye…and jab tum woh miss ka afsos kar rahe ho tab woh song aa jaye jo mein chahta hooh :ahaan: B4U music 6 baje lagega jab Poirot khatam hoga…waise humne woh movie dekh li hai and it is a nice move :halo:

oh haan :smiley: mujhe pata to tha orange dress ka but yeh nahi pata tha ki woh already pehen bhi liya tumhe :halo: ohhhhh to Sony kyon nahi hai tumhare paas…abhi lagao and woh serial dekho

ohhhhhhhhhh smack to pata kab chalega ki jaana hai ya nahi and agar nahi jaana ho to aa jaana online…and haan ban to gaya hai khana to woh kaam bhi ho hi jayega
abhi dono jaa rahe the grocery lene to mujhse poocha ki kya khana hai? meine kaha Gajar-matar and they were like :eek: tabiyat to theek hai teri?

UN ka gana mujh se miss nahi ho sakta…kyun k dil se dil ko raah hoti hai..:blush:..jab un ka gana a raha hota hai hum ko Kuch kuch hota hai aap nahi samajhein gay..snotoy..per pata hai sachi mein aisa ho cuka hai kitni bar..kabhi bhai tv dekh raha hota hai tu mein cheekh mar k kehti hoon zara b4u lagao..aur WOH hote hain us per..eek..issey kehte hain dil se dil ko raah hona blush..

mujhe Sony nahi chaye ab :snooty:…pehle tha..phir sakht boring ho gaya tha..phir bund karva diya..khamakha kyun faida karein Sony walon ka…aur khaas kar k ab jab yeh pata chal gaya hai k aap ko bhi Sony pasand ai :halo:…

haan agar kal na jana howa tu SHAYAD aa ji haoun..:snooty:..aur waise yeh Matar kahans e beech mein aa gaye hain..baat tu sirf Gajaroon ki howi thi na..per chalo phir bhi theek hai, ijazat di..rehm dili ki inteha snotoy…bus gajar zyada hone chaye..:bailan:..

hmmmmmmmm :halo:

really? :eek: waise kabhi kabhi aisa ho jaata hai ki you know someone is coming or koi call aane wala hai ya koi kuch kehne wala hai and woh baat ho jaati hai…rightly said dil se dil ko raah hoti hai :smiley:

heheheh yeah pehle Sony bahot bore ho gaya tha…but it is much better now…new programs…new movies and everything…and especially Yeh Meri Life Hai :stuck_out_tongue:

hhehee theek hai waise bhi neend to aane wali nahi hai to mein to online hi rahoonga :halo: aur plain gajar ki ko sabzi nahi banti hai kabhi…so matar to hoge hi…

haan hum hamesha sahi hi kehte hain..:snooty:..

haan waise mein ne bhi suna hai k pata nahi kia kia shoro kar diya hai Sony walon ne ab..ab zahir hai Cheatersss Sony dekhte hain..tu sony per bhi tu asar ho ga na…ab Zee walon ki naqal tu karni farz hai na Sony walon ko…:snooty:..hhum original cheezein dekhte hain..snotoy

aur plain gajar ki sabzi banti hai..ammi ne banaye thi.,…aur bohat sundar bani thi…:yummy:… aur gajar gosht tu wah wah…bummer

aap ne kal office nahi jana? aqal aa gaye Boss ko..:eek:

:rotfl: @ Shor sharaba reply

ROGER FEDDERER is THE CHAMPIONNNNNNNNNNNN

hmmmmmm…kidher??? :halo:…

uf fo bohat koshish ki hai chota reply karne ki per nahi hota :smack:..

choro..haan tu mein keh rahi thi k kidher gaye they? :-|… woh bhi achanak…:expressionless:

shower lai rha tha… batya tu tha kai abhi su kur utha houn :bummer:
Lakghay ka wo gana sunna hai na? Main aysaa kion houn??
Acha danche kia usmai bongooo nai .. :snooty:

:rotfl:..tobahhhh astgafffffffffaaaaaarrrrrrrrrrrrrrrrrrrrrr :nono4:…tobah tobah…tharkee log…:bailan:

:rocket:.

shower li hai?..chchc phir bhi koi farq nahi :bummer:..
aaaaaaaaaaa hai na naaa…how sundarrrr…chinnaaa chweeettttt…i know..bohat sundar dance kia hai UNHO ne :blush:… us ki making aa rahi thi Zee per dekhi :blush:

hehehe :smiley: yeah yeah

haan jee ab to bahot achcha ho gaya hai Sony … hum jo dekhte hai…unko pata chal gaya hai ki saab ne subscribe kar liya hai to achche programs to dikhane hi padhegi

really? meine to kabhi taste bhi shaukh se khaayi hi nahi gajar ki sabzi is liye pata hi nahi…hmmm try karoonga kabhi plain gajar…and gajar gosht :eek: yeh to kabhi nahi khayi meine…

haan kal office jana hai but at 11:00 meri meeting hai at 11 and have to stay late to run some processes at 7, so late jaana and late aana

:expressionless: iss main toubah toubah kurnai ke kia baat hai??? kam az kam main nai koe asal main tu naheen poucha tha … :halo:

aor kia azeem log houtai he itnai paak saaf hain kai shower lain na lain koe fark naheen purdta :mocking:
naheen mere pass Zee naheen aata.. aor lagwana bhi naheen hai :bummer:
aor tumhara week kaisa rha? Job kaise chal rahe hai ? aor NoorJahan wallai program ka kia huwa? iss weekend tu naheen hai na? :halo:

Sony waloon ko pata lagne do k kis kis ne dekhna shoro kar diya hai aur kin Azeem logoon ne dekhna chor diya hai..phir khud ba khud asliyat samne aa jaye gi…:halo:… waise aap woh dekhte hain..Jassi jaisi koi nahi?..suna hai Shahrukh ji ki santan ko kafi pasand hai woh prog.:halo:..shooting per bhi tapak gaye they …halo

gajar goshtt bohat acha hota hai..bohat mazay ka hota hai..balkey ab mein dobara farmaish karti hoon gajar gosht ki…sirf gajar khane k baad kabhi gajar gosht bhi try kari ga..sundar hoti hai…hula..

ohh yani susti se jana hai aur susti se ana hai wapis ..:halo:…

ps:..hamare jane ka samay howa chahta hai..:snooty:

haan per mein ne aap ki baat ki thi :halo:..aap hum logoon yani azeem logoon ki batein na karein..hamey pata hai k hum kitne azeem hain :snooty:

kyun nahi lagvana Zee…ana ka masla bana liya hai ab :bailan:…cute hai…HAHK bhi aye thi us per blush..

aur Noor Jehan wala prog ho chuka haiiiiiiiiiiiiiiii last weekk..last Sat..kitni baar bataounnnnnn :frusty:..

ps:..mein wohi tu keh rahi hoon kab se…k asal mein bhi bol do ab..:smack:…woh gana nahi suna..deir na ho jaye kahin deir na hojaye… smack

hehehe haan baata do unko phir dekhna aur bhi achcha kar dege channel ko…

oh haan kabhi kabhi dekhta hoon…i dont like it…bahot hi slow hai :halo: 1 week baad bhi dekho to wahi ka wahi and 1 month baad bhi dekho to wahi ka wahi

haan auntiji se gajar gosht ki recipe lekar bhej dena to try karoonga…

haan susti hi susti…Monday waise bhi bahot hi sust jaata hai :bummer:

kyonnnnnnnnnnn itne jaldi jaana bhi hai?

aur sardard mein kuch farak padha?

slow hai??? mein ne tu suna tha kafi acha hai..oh is ka mutlub k Sony ne Zee k sath sath Star plus ki bhi naqal shoro kar di..chchch..:smack:…ab itne vade vade cheater dekhein gay tu yehi hoga… :halo:…

mein kyun doon gajar gosht ki recipe..khud dhoondein :snooty:

Monday hi kia…Monday to Sunday susti sust hi rehte hain..:halo:.. aur jana is liye hai kyun k amma huzoor yad farma rahi hain :blush:..aur chai bhi peeni hai abhi blush

aur haan bohat farq pada hai..:halo:..kafi zyada badh chuka hai..halo..