Shukriya hum aap kay tehay dil say mamnoon o mashkoor hain keh aap nay hamara sawagat kis qadar ehteraan o izzat say keeya, aur namawaish aap kee dhair saari duwaaon kay leay.
Aur kia ho raha hai I mean aur kia ho raha hai besides logo ko duaain denay kay.
Waisay kal aap say kaha tu tha half n hour pehlay Allah Haafiz but aap hamaray messages paRhti kahan hain, woh tu Hammad nay yaad dilaya tha keh Wise Bhai kitni dair pehlay Allah Haafiz kaha abhi tak gaye nahee. hum kia kehtay hum chup rahay maznoor tha parda tera, I means aap kay rules ka paas bhi tu kerna tha, lehaza aaj bhi aisa hee karain gay, janay say pehlay AH phir kuch tawaqquf phir bye bye.
PS: Allah Haafiz (I’ll go exactly after half an hour)
Allah rey professor sahab…kaun se janam ka badla ley rahey hain....itniiiii sakht urdu…aye kash k meri nano yahan hoteen tu mein batati phir ..per aaj mein bhi bohat bari urdu boloon gi,.hoonh..
aur filhal tu kuch nahi ho raha..abhi office se aye thi…sakht tareen batameez kism ki garmi thi bahir aaj…per phir bhi kal se behter thi..:@..kal tu ubal rahi thi mein....khair aa kar naha dho kar saf suthri ho kar..soocha Gs ki shoba badhaye jaye....
aur ji aap ne eik hi dafa Allah hafiz kaha tha aur chup ho gaye they..Allah hafiz kehne k baad adhey ghunte tuk (kam az kam)..patar patar karni bhi lazmi hai..aur haan koi farz nahi hai k exactly 1/2 hour tuk jana ho…halo..
na jao tu na jao… balkai abb tu hur giz na jana.. khamukha mai mere thread ko dhabba lag jai ga .. :halo:
aaj tu buhat kuch banaya tha… Daal chawal aor karahi aor lamb karahi… phir freezer mai rakhii dii … du teen din kii chutti hoe ..
Office na jai kai tu bahanai chahiyai logoun ko .. hudd hai yanii … challo koe baat nahii next tu friday hai na weekend aa gia dubara… aram kurna sara din balkai bicharai bhaion kii jaan khanaa …
Kion WO kion na boloun .. : -| dekhain mai buhat shreef aadmi houn, mere ikk baat sun lain … :halo: ja kur WAHAN reply karein
Aray tu boleay na Urdu kisnay mana kia aap ko.
Acha jee office say aain hain wapis, kahan job kerti hain aap. Aur garmi tu khair yahan bhi kafi hai abhi bhi 91 degrees hoga Aur jahan tak rahee baat ubalnay kee, woh konsa aisa din hai jab aap kee halat yeh nahee hoti. Shuker khiyaal tu aaya aap ko bhi safaai suthraai ka:p
Ajee hum mustaqil hum kalam thay sub say, aur rahee baat patar patar kernay kee, kuch tu farq hona chaheay na WiseGuy and Rabiaa mai, (J/K)
OK aaj ka time tu note ker leeya na aap nay.
ab us thread bechari k saath aur kitna anarth hoga..kalank tu lag kar hi khula tha woh thread…kholne wala bohat vada kalanka tha :halo:..waise ab mein sooch rahi hoon k wahan bhi qadm ranja ho hi jaoun…..
karahi tu kal banaya tha…ab har roz karahi banaye gay..8smack*..Allah rey…chicken bhi wahan janam ley kar pachtati hoon gi..aur cheater kal mein ne dal banaye thi aap ko tu farz ho gaya tha na..kal mein ne aap se milti julti yani Kali dal banaye thi.. aur chawal, aur roti,…aur bohat cute kism k aalo..i mean pata nahi kia banay atha..kuch aalo ka tha..per sakhtt mirchoon wala..haye abi yaad aa raha hai..teary3..
bahane hume chutti karne k nahi..bahane office walon ko hamey bulane k liye chaye..blush..pata hai jab woh Solicitor gayen theen na apni Annual leave per :halo:..tu mere liye eik purse laye..aur pichli bar gaye thi tu chocolate aur pen laye…dekha sachi muhabbat..wahan ja kar bhi mujhe yaad karti reti hain..blush..
aur uffffffffffff..is terha na bolein kamo kakaaaaaaaaaaaaaaa…rocket…..Allah..kis jahil skhas ki yaad diladi hai..chup ho jayein ab acha…@@
BM oh ws ws..jeete rahein khush rahein..dodo nahao..pholo phalo..aap kab tapkein yahan? mujhe tu nahi nazar aya…..
woh tu chunney aur Kamo kaka ne zikr kia hai tu hamari nazar-e-karam aap per padi hain…halat-e-zindagi kaisi hai..
Chunneyy aao jahil ..ws..jeete raho aur bla bla..smack…kaise ho chunney…aur munna kahan hai aaj kal…aur haan tumhara bukhar kaisa hai..kitni buri halat hogi us ki tumhare upar aa kar..…
waisai khair tu hai na!!!
abb wo hii achii banana aate hai na.. jabhii wo banata houn
khiar mere marzii kuc bhii banaye aor jab banai.. aor chahai jitnii dafa banain
aik tu office waloun ko chain nahii aik dafa hii chutti karain na tu itnii fikar na hu gee… hur office mai sabh sai nalaik kai saath yahii houta hai.. sabh baar baar phone kur kai pouchtai hain kai si every thing alright… aor gifts bhii motivate kurnai ko kai kuch tu sharam aaye aor kaam bhii kur lai kuch .. lagta hai tumharii un solicitor sahiba nai bhii wo book purdh rakhii hai …
acha sun lia abb nahii boloun ga.. bas aik akhri dafa bouloun ga akhir mai
haan bol rahi hoon mein ab sakht wali urdu..tayayr rahein..hoonh..haan tu kia preshun tha aap ka…haan hum office se wapis qadm ranja howe hain ghur-e-azeem mein..aur hum eik Law firm mein kaam karne ka karanama anjaam-e-sukhan deytey hain…aur aur haan yahan sakht tareen garmi-e-shadeed hai..aur wahan kahan???91 degrees???..kiaaa…eek..aap dubai mein tu nahi hote???i mean aap dubai mein tu nahi tasreef farma hote…(urdu dekhi meri… aur karo muqabla..haan tu..)…aur jahan tuk Ubalne ka sawal hai..tu hota hai aisa bhi waqt jab hum shant hote hain..per woh kia hai na..gustkh log shant roop kam hi dekhte hain hamara …
haan mujhe tu aa hi gaya safai suthrai ka khiyal jaise roz aata hai…woh tu mein aap ka intezar kar rahi thi k aap ko khiyal aya tu phir mein bhi failsa karoon..per phir soocha k abhi eid mein time hai..mein tu saf suthri hoo jaoun..:halo:..
aur WiseGuy aur Rabia mein hamesha farq rahey ga…beshak WG patar poatar kare ya na karey..waise bhi har koi itna kalakaar thodi hota hai…..waise aap ka naam kia hota hai..itna bada jhoot bolna padta hai bar bar aap ko WiseGuy keh kar…aye kash k nick mein sachai bhi hoti..:halo:..
haan khair hi hai tub hi tu itne lad uthaye jatey hain hamare snooty..agar na uthaye jatey tu khair hoti..khas tor per office walon ki....
ohh yani k nalaikoon k sath bhi aisa hota hai..i c, i c..tu aap ko kitne gifts mil chuke hain aaj tuk :halo:…zahir hai jo aqulmund kare ga..nalaiq tu kare ga hi..ab hum jaise aqalmundon ne yeh shoro kia..tu nalaiqoon ne bhi gift mangana shoro kar diye…mangtoo..…waise kaun si book??pata hai woh jo mera show howa tha na…blush…ab sari dunya us ki pics k peechey pad gaye hai..hamari eik colleague hain..un ka tu phone aya khas tor per yeh kehne k liye k rabia pics ready rakho mujhe dekhni hain..mein ne kaha Allah rey kahan tuk demand hai..aur un k do Santan bhi hain..…
aur koi zaroorat nahi hai Us jahil insan urf bongay urf chamar urf urf..uffffffff..sab kuych ..ki terha bolne ki…..
He he ..nahin jee boss office me hi he…woh to hum hi chup chup kar GS par a rehe he… aur wese bhi aghar unho ne dekh bhi liye to kuch nahin kehe gay…meri tarha woh bhi kafhi achein hain..he he:)
Raelly, waqee yeh tu aap karnam e azeem hee anjaam dey rahee hain keh eik Law firm main job kerti hain, Law firm hai tu wakeel hazraat bhi hotay hongay, aur dunia janti hai keh kon kitna jhoot bolta hai
Nahee nahee hum Dubai main nahee hain, 91 degrees bolay tu Fahrenheit main waisay 33 degree Celsius hai :halo: Ab aap shukar guzaar hon geen keh kitni knowledge main izafa keeya aapki, khair rehnay dain kia takallufaat main paRti hain, yeh tu hamara kaam hee hai keh jisay kuch na maloom ho uskay ilm main izafa karoon.
Nahee janab hum bhi roz shower letay hain eik subah aur eik shaam yahi hai hamari tandrusti aur achi sehat kee alamat.
waisay kahan rehaish pazeer hain aap, if you dont mind telling me.
kaheen pic kii demand santan kii hii na ho … waisai B’ham waloun ko hu kia gia hai … kia taste hai lahoulwalaquwat .. kaison kaison kii demnad hai wahan pur … bummer… shukar hai london wallai aisai naheen :halo:
mai koe nalaik shalaik nahii iss lia koe gift shift nahii bummer soch rha houn shuru kur doun main bhii nalaikii abb… buhat ho chukkai mazai…logoun kai ..