Where are you ...

ohhh Mr AQ…:expressionless: aao aao thakur,…kaise hain :-|…ab plz aap yeh na keh deina k aap bhi theek hain :smack:
koi achi khabar sunana …

ohhhhhhhhhh gussa hai ? kis baat ka ??? kuch bataye bhi…

lo shuru ho gaye aapke dialogues…waise missed all your dialogues :frowning: aur woh ek ke baad ek aapke comments…ufff thoda regular ho jaye na…

bataye na kiske liye itna gussa ???

haan have heard this song so many times now…aapke paas mp3 hai ? mere paas to hai :smiley:

sirf gussa nahi hai..SAKHT bhi hai gusse k peechey…woh bhi padh leytey…:-|…aap tu bholey miskeen aap ko tu pata nahi hai k kis per ghussa hai ..hai na na..tobah tobah miskeeniyat tu tapak rahi hai balti rakh lein…pehle hi tapak tapak kar khutum ho gaye hai..jitni hai woh bhi jaye gi :hoonh:

aur kia kis k liye itna ghussa?? aap ko nahi pata? itne aap bholey hote na..tu…tu Saleem na hotey…:halo:… khamakha bholoon ko naam badnaam na karein apne aap k bhola samajh kar…(uff ab gana yaad aa gaya hai mere liye jo bana tha…bholi si surat ankhon mein masti door khadi sharmaoun )..haan khair…

aur agar mp3 aap k paas hai tu mujhe hargiz nahi chaye…:hoonh:..mere paas hota bhi tu nikal deyti ab..per shukar hai k nahi hai..hoonh

haan to yeh jo aapko SAKHT gussa hai yeh kis liye aaya hai bataye na…mujhe sachchi nahi pata na…batao na

aur agar mein soch raha hoon ki aap mere pm na karne par gussa hai to meine to woh pm ka reply kar hi diya tha afternoon mein :frowning:

aha nice song…dil to pagal hai…

haan mp3 to mere paas hai hi…aapko kyon nahi chahiye ? aapko achcha nahi lagta song ? kyon nahi lagta ? agar lagta hai to chaiye kyon nahi ?

mujhe jo Sakht ghussa hai na Mr miskeen woh yahan k kuch namoono per hai..pata hai yahan kuch namoonay samajhtey hain k woh Tony Blair hain ya shayad BUsh samajhte hain..in dono ko tu choro..un se bhi busy Usama bin laden..in teenon se bhi busy ssamjhte hain apne aap ko..pata hai 1 pm ka reply karte howey na logoon ki ugliyan thak rahi theen..manna k umer ka takaza hai..per Rabia se Panga liya hai na ab bhugatna..mad..agay agay dekho hota hai kia :mad:

haan bada acha pm kia tha.. :hoonh:…us k baad tu ram nam sate ho gaya tha na..abhi dosra janam howa hai na jo yaad aya hai k jo pm thi US ka reply karna tha..hai na na..:hoonh:..

haan dil tu pagal hai ka hai :snooty:

mujhe mp3 is liye nahi chaye kyun k woh aap k paas hai..aap ki jaisi koi cheez mujhe nahi chaye.. Khuda na khaasta aap k jaisi ho gaye tu mujhe bhi adat lag jaye gi reply na karne ki.. aur mein tehri rehm dil..Allah na karey k aap ka asar ho..is liye har waqt ayat-ul-kursi padh kar rakhti hoon…k buri balayaein dor dor rahein…tub hi tu B;ham aa kar bhi dor hi rahey they…

khair woh dosre namoone kahan hain?? woh alif kahan hain..:snooty:

arey ab maaf bhi kar do na :frowning: kitne baar to sorry kaha ab to kaan pakar ke bhi sorry keh raha hoon sachchi and i promise ki reply instantly kar doonga aur kya chahiye :frowning:

woh doosre so rahe hoge…weekend par unka full time job hai din mein sone ka and raat mein jaagne ka :halo:

aur humari mp3 achchi hi hoti hai hum se bhi :smiley: aur yeh wali to KK ne bana kar di hai…so to aur bhi achchi honi hai :smiley:

Mr. itni jaldi maaf ho jane ka tu sapna bhi na dekhna acha :mad:…abhi tu shorovat hai..agay agay dekho hota hai kia.. jab mein ne kaha tha k Panga with Rabia is not Changa..tu awayeen nahi kaha tha…hum koi baat awayeen nahi karte ..:-|…
aur nahi nahi kyun jaldi reply kar dein gay…aisa karein 1 sal mein kari ga…ya 1 sal bohat kam hai???..balkey aisa karo k choro..reply hi na karo…reply tu tub karein gay na jab Pm aye gi..hai na na..:-|…

haan tu jaagna tu pade ga bechare ko raat mein…ab pair per bhi tu beithna hai…kitne baje uchke gay paid per… :halo:..

eeee chiiiiiii KK ne banaya hai..ab tu chaye bhi hoga tu bhi nahi…bechara mp3…gana gata hoga..'mein kia tha kia se kia ho gaya :bummer: '…us se kahi ga mere humdardi hai us k saath…

waise koi film dekhi :snooty:…AAAAAAAAAAAA Awards dekhey theyyyy..Unhey dekhaaa…:blush:…best actor award mila hai unhey..yad hai mein ne kaha tha k unhey zaroor mile ga.. mera ashirwad jo tha un k saath..aur dosre wale ko bhi mila..Vade wale ko..Superstar of the year blush..anneyy…

OK I am back:D I went for the lunch and I had Chicken Makhni, Nihaari and Biryaani:yummy:

so rabiaa: I have a request:D please just once post a message with only one line :silly:

haan baba i know now that panga with rabia is not changa…but ab to maaf kar do … aur yeh kya? aap ab pm nahi karoge :frowning:

hahahaha esssssshhhhhhhhhhhh aapne KK ko ullu kaha :eek: mein bata ta hoon unko aane do

oh yeah i saw the awards…both film fare and zee wale bhi dono mein hi HR ko best actor mila…ab mil gaya to mil gaya kya kare :expressionless:

haan i watched Munna bhai the last desi movie and angrezi mein dekhi Love Actually, Along came Polly and Lost in Translatoin…

tumne kaunsi dekhi ?

Allah Allah itna kuch?? :eek:..itne sare khane per zulm kia tha? …eik se pait nahi bhara tha..kia adnan sami ki aatma ghuss gaye hai :halo:…

sorry mein aap ki request kyun manoon…awayeen khamakha…:snooty:

waise bhi abhi mein jane wali hoon..bye shye karne hi aye thi…ab 1 line chorein..ab meri khamoshiyan dekhi ga…(wah wah kia dialogue hai :k: )…

:hehe::rotfl:

haan acha hai k pata hai panga changa nahi hai..per ab jab liya hai tu aise hi tu nahi chor sakti na…badla tu loongi na…:expressionless:
aur yeh mein ne kab kaha k mein pm nahi karoon gi..itna rehm kyun karoon mein aap per…:hoonh:..aisa tu hargiz nahi hoga..is yug mein tu hargiz nahi …

wah rey..badi samajhdar ho gaye hain meri sohbat mein..samajh bhi gaye k mein kia kehna chah rahi thi wah rey…ab mein ne tu Ullu nahi kaha..kaha tu aap ne hai..wais ebhi sach kehne mein sharmana nahi chaye..khul k kaho…jo bhi kehna hai khul k kahooooo..its the time to disco..:hula:

hai na na…dono mein unhey best actor ka mila tha na…ab woh hain hi best tu kia kiya jaye…:blush:

acha sunain ab mein bhag rai hoon..ammi bula rahi hain..tu bye shye…aur takecare vakecare hargiz nahi karna :bailan:..Allah hafiz…

:salam: kya hal hai sab ka?

Acha Mr AQ…ab mein ja rahi hoon..aap ko bhi bye shye… :halo:..
aur takecare vakecare bhi:snooty:..n ALlah hafiz..:wave:

:wsalam: wohi haDDi hai wohi khaal hai :smiley:

yeh haddi kya hoti hai?

[QUOTE]
*Originally posted by diyah: *

yeh haddi kya hoti hai?
[/QUOTE]
bone :-|

meine kuch nahi kaha aap hi na kaha…:expressionless:

okie jee take care and be good and be in touch and aate jaate rahe na :frowning:

take care…allah haafiz :wave:

:smack2: :smack2: :rotfl: ab samaj ayee

:snooty: