What's up today?

Tu bara has raha hay aj kiya bat hay :wink:

Oye ZU and Amir tum dono kahan chalay gay hoo :mad:

Jaldi jawab diya karoo :bailan:

:kiss:

idher hi hoon yaar laikin kafi ziada busy hoon mein abhi ................. :(

[QUOTE]
*Originally posted by amirbilal: *
idher hi hoon yaar laikin kafi ziada busy hoon mein abhi ................. :(
[/QUOTE]

Theek hay janab sab hi busy hein :(

aik mein hi wayla hoon bas jo sab ka intizar karta hoon or meray atay hi sab rafoo chakar ho jatay hein :(

haa.n haa.n pk ip brother ki sari duayien tumhare saath hien ab tum exams mien buhat ache marks lo gi :smiley:

Umar yar tujay kiya problem hay:(. Yah tum har reply mein mujay or PK ko bro and sis banatay rahtay hoo. Koi problem hay yar tujay ya koi shak hay janu. To khol kar bat karoo yar. Meray dil mein PK kay liyay bohat piyar or Izat hay or mein PK ka bohat ahtram karta hoon. Bilkul aisay hi jaisay aik bhai apni choti behan say piyar karta hay.

Lakin tayray zehan ki gandgi ka koi ilaj nahi hay yar. Tum mentaly toor par aik bimar shakhce hoo.

Bara dukh hota hay yar umar jab tu aisi hooshi harqat karta hay.

Wo hamari achi dost hay or bas. Hamaray dil mein us kay liyay piyar hay izat hay or ahtram hay. Lakin tujay dosti ka kiya pata tu kabi kisi kay sath sincere howa hi nahi dosti mein to tujay pata kaisay chalay ga.

Amir
GS
BM
Fizion
ASA
Naveed

Dekh loo yar Umar ki Zheniyat :bummer:

Or PK pata nahi kiya soochay gi tumaray baray mein :frowning:

idhar hi hoo.n dear :wave:

aur sunao yar ip ho sakta hai k Mamba Lahore aye

hahah

tu yar mien ne koi buri baat ki hai

ye hi kaha hai na k ip bro ki duayien tumhare saath hien pk

is mien kaun si aisi buri baat hai

aamir tu hi bata yar :frowning:

acha :slight_smile: yah to bohat achi bat hay yar. Kab a raha hay.

:flower2: WELCOME TO LAHORE BM :flower2:

:kiss:

[QUOTE]
*Originally posted by Zakhmi Umar: *

hahah

tu yar mien ne koi buri baat ki hai

ye hi kaha hai na k ip bro ki duayien tumhare saath hien pk

is mien kaun si aisi buri baat hai

aamir tu hi bata yar :(
[/QUOTE]

Umar umar janu tu meray sath ustadiyan na laga. Tujay pata vi hay kay mein Insan ko pehchannay mein ghalti nahi karta. Or tujay to sab say ziyada mein hi janta hoon. Or koi nahi janta. anyway next time zara khiyal rakhana yar meri to koi bat nahi. Lakin ho sakta hay tayri in harktoon ki waja say kisi or ka dil dukhay. Or yah koi acha bat nahi hay janu plz :)

Dil keo.n dhukhe ga bhai agar aap kisi k bro aur koi aap ki sis ban jaye gi tu dil keo.n dukhe ga bhai :konfused:

yar ye tu ab bm hi bataye ga :slight_smile:

aur aamir ne bhi ana hai Eid pe :slight_smile:

hello jigers mein aa gia hooon abi office se university pohuncha hoon :)

yaar aik to tum donon lartay bohat ho :(

yar ye hi tu piyar hai , jaha.n jhagra hota hai wahien ziada piyar hota hai :hug:

yar baz places mien aaj roza hai jab k idhar lhr mien tu nahi hai , kal ho ga insha Allah 28-oct-2003

aamir isb mien bhi kal hai kiya ?

GS bro ne tu aaj roza rakha hua thah :)

Yar umar tum bachay nahi hoo. Jab kisi rishtay ko ghalat rang day kar bar bar dohraya jay to phir us par dil hi dukhay ga. Lakin mein nay kaha na chal choor ab. Tunay aik ghalat bat ki or ab us ghalti ko manay ki bajaey us par jhoot ka parda dal raha hay. :frowning:

:mad: Umar tu insan ban ja :mad:

itna nuksan karwa diya hay. BM or Amir Eid par a rahay hein or tum nay mujay pehlay kaha hay kay a rahay hein :frowning:

Mein to pholoon walay ko kah diya tha kay saray lahore ki sarkein pholoon say saja dein. :frowning:

Ab bata in pholoon kay paisay kon day ga or jab wo Eid par ayain gay to us waqat phir mujay pholoon ka order dayna paray ga :bailan:

To phir kiya karain tum university a gay hoo to hein :snooty:

Yah larai nahi hay yar yah to mein umar ki islah kar raha hoon kay wo bi aik acha insan ban jay meri tarha :smokin:

Waisay app university pochay hoo to janu Welcome :kiss:

Allah tumay apnay hifzoo aman mein rakhay ( Ameen )

yeh to tumhara payar hai IP jiger

warna hum kia cheeez hain :)

Kiya GS nay Roza rakha hay :eek:

acha acha wo wala roza jo bachay bi rakhtay hein :smiley: Chiri Roza :smiley:

:rotfl":rotfl":rotfl"