What's the story behing your nick?

Naaaaaa Mirch is a symbol , a concept , a philosphy , a way of life , a credo to live by.

Mirchoon kay baghair zindagee bay car hay. Yeh na hoon to hamara jeena dobhar ho ja a. Humaray khanoon key ronaq , zaiqa aur khoshboo sub khatam ho ja a. Kuch log Mirchoon ko bohat pasand kartay hain magar kuch loogon ko mirchain ziada hee lagtee hain.
Mirchain khanoon main khushboo aur ziaqa paida karnay kay ilaway laganay kay bhee kamm atee hain. Jis kay lagaee yee jatee hay woh cheekh uthta hay ya khisia jata hay. Koie bhee mirchain lagwanay kay ley a razakarana tour par razi nahi hota lihaza yeh hamaisha hee zabardasti lagaee jatee hain. Ajkal goroon ko kuch ziada hee mirchain lagee hoo e hain. Woh in mirchoon key waja say saree dunia main badoog lay kar bhagay bhagay phir rahay hain un loogon ko dhondtay phir rahay hain jinhoon nay inko mirchain laga e hain magar , mirchain laganay walay bhee bohat chalak hain in kay haat hee nahi aatay aur waqtan fawaqtan lagatay hee rahtay hain.
Mirchain laganay waloon kay kai leader hain magar dow ziada hee mashhoor hain Ahmadinejad , Hugo chavez.
Mirchain khanay walay say ziaday laganay waly ko maza atta hay aur woh her waqat apna shikar talah kartay rahtay hain aur jaisay hee moqa milta hay mirchain laga detay hain. No ?