Re: What was the turning point
ab itnaa bhii saadgii na baratne ko kaheN…lol
hamaare yahaN ek laakh kaa DupaTTaa aur 50 laakh kaa joRaa nahiiN bantaa dulhan ke liye aur na hii teetar baTer hote haiN dinner/lunch meN aur na hii itnaa taam jhaam hotaa hai…
…jahaN tak band baaje kaa ta’alluq hai, yeh yaa to bahot Hi-Fi shaadiyoN meN hotaa hai [Bollywood style] yaa phir anpaRh, aur nichle tabqe [financially] meN hotaa hai k dulhaa ghoRe par aur uske peechhe mobile orchestra hotaa hai…lolz
aam taur par baaraatii jaate haiN aur khaa pee kar aur kuchh rasoomaat kar ke dulhan ko ghar le aate haiN. uske ba’d dusre yaa teesre din walima meN khaanaa peenaa hotaa hai bas. kuchh log ‘chauthii’ meN bhii kuchh log jaate haiN.
yahan pe bhi bhi 50 lakh ka koe nae banata. hardly one percent of the people could afford in pakistan what you are talking about.
50K ka jorra bhi sadgi hoti hai?