What Made You Sad Today?

Re: What Made You Sad Today?

after meeting some relative just came back from pakistan

Re: What Made You Sad Today?

mil ke to Khushii hotii hai to aap Ghamgeen kiuN ho gaiiN? kia watan kii miTTii jootoN pe lagii dekh li? :cb: :smiley:

Re: What Made You Sad Today?

Nahi wo meri ami se mili thien na to keh rahi thien ke wo mjje kafi yad kar rahi thien

Re: What Made You Sad Today?


aaaaaaaaaaaaawwwwwwwwwww...to jaa ke ghoom aaiye...ammii se mil aaiye? kab mili thiiN pichhli baar un se?

Re: What Made You Sad Today?

InshAllah next year jaongi abhi to nai jasakti pichle saal gayi thi lekin bs koi watan se aye wahan ka haal ehwal sunaye to sb ki yad ati hai na

Re: What Made You Sad Today?


achchhaa...to, next year zaroor jaaiyegaa...maaN baap intizaar karte haiN apne bachchoN kaa har pal har ghaRii...

...maiN to vatan jaate huye sad hotaa huN yeh soch kar k lauT kar aanaa hai :(

Re: What Made You Sad Today?

:-( :-( haan jee wapsi ki sooch aur udaas kr deti.hai

Re: What Made You Sad Today?


kaash ham idhar na aate aur udhar hii rahte...ab lauT bhii to nahiiN sakte...ham apne hii mulk meN misfit ho kar rah gaye! :(

Re: What Made You Sad Today?

Bs na wahan reh sakey na idher ke hosakay :(

Re: What Made You Sad Today?


yup...na ghar ke rahe na baahar ke...beech meN hii mo'allaq ho kar rah gaye! :( maiN to vaseeyat kar jaauuNgaa k mujhe kam se kam dafnaayeN apne hii gaaoN meN :(

Re: What Made You Sad Today?

Allah apko lambi sehat o tandrusti wali zindagi de.Ameen..abhi to apne zindagi ki mushkilen dekhi he kahan hen (shadi) :omg:

Re: What Made You Sad Today?

mrayyazz HE SAID
yahan kia ker rahi sobho sobho kia alwa poori bat rahi chalo jao shabash…

HALWA POORI :cryb: :cryb:

Re: What Made You Sad Today?

mr azizi to dil hi dukhanay ki baaten kerte hen,kal mujhe b inki ek baat achi mehsoos nahi hui thi:snooty:

Re: What Made You Sad Today?

jaldi jaldi unko bata do verna dil me rakhne se zeher ban jati hy

Re: What Made You Sad Today?

:no: main ab nahi bata sakti kiunke mujhe baat bhool gayi hai:sheyn1:

Re: What Made You Sad Today?

mujhe maulana kii baat sad kar gaii...kahte ahiN k..."namaaz paRho isse pahle k tumhaarii namaaz paRhii jaaye!" :(

Re: What Made You Sad Today?

maine perh li fajr ki kab ki:D

Re: What Made You Sad Today?


maashaa Allah...5 waqt kii paRhne ko maulana saab kah rahe haiN :)

Re: What Made You Sad Today?

acha jee mashAllah

Re: What Made You Sad Today?

naashta kar liyaa?