Ghalib ko jab paisoN kii kamii hotii to vo shahnshaah kii ta'reefoN ke pul baandh dete to kuchh raqam mil jaatii...lihaaza, unhoN ne Zafar kii ek Ghazal kii tazmeen ba_soorat-e-Khamsa kar Daali. mujhe unkii yeh tazmeen bahot pasand aayii...Khamsa meN 5 lines [misr'e] hote haiN lihaaza pahle 3 misr'e Ghalib ke haiN aur aaKhirii do Zafar kii Ghazal ke ash'aar haiN...yeh tazmeen taveel hai [11 bandoN par mushtamil hai] lihaaza maiN sirf yahaN matl'a aur maqt'a darj kar rahaa huN. mulaaHizah farmaaiye:
*matl'a:
*
**ghiste, ghiste paaoN meN zanjiir aadhii rah gai
mar gaye par qabr kii ta'miir aadhii rah gai
sab hi paRhta, kaash!, kiuN takbiir aadhi rah gai
"khiNch ke, zaalim!, jab tri shamshiir aadhii rah gai
Gham se jaan-e-'aashiq-e-dil_giir aadhii rah gai"
**
*maqt'a:
*
**tum jo farmaate ho, dekh ai "Ghalib"-e-aashufta_sar
ham man'a karte na the tujh ko, gaya kyuN us ke ghar?
jaan kii paauuN amaaN!, baat ye sab sach hai magar
"dil ne kii saari Kharaabi le gayaa mujhko :Zafar!:
vaaN ke jaane meN mri tauqiir aadhii rah gai"**
agar aapko Ghaalib ka yeh mukammal Khamsa bar ghazal Bahadur Shaah
"Zafar" matloob ho to mujhe muttel'a farmaaiyegaa. shukria.