What is your all-time favourite poetry?

Re: What is your all-time favourite poetry?

Here it is:

Apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko

Mujhse tu puchne aya hai wafa k maa’ni
ye teri sada dili maar na dale mujhko

                     Main samandar bhi hun moti bhi hun gota zan bhi
                      koi bhi naam mera le k bula le mujhko

Tune dekha nahin aa’ine se aage kuch bhi
khudparasti mein kahin tu na ganwale mujhko

Kal ki baat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aaj sata le mujhko

Khud ko main baant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko

Main jo kanta hun to chal mujh se bacha kar daman
main hun gar phul to joode mein saja le mujhko

Main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko

Tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulane wale mujhko

Baadaa to phir baadaa hai main zahar bhi pi jaun “Qateel”
shart ye hai koi bahon mein sanbhale mujhko