Re: what do you mean, "I don't know."
AQ,
what wil you do if you were to have a context?
yes, people do grow down in themselves and they do have the capacity to grow up too, only if they tried.
Dushwari
Serious reply to the first post:
Dushwari:
agar aap apni tehreer kaY mudd'a ilyehaY kee nishaan dahi kar daiN gee tau awaam-un-naas kissi mukhmassaY maiN paRnaY kee bajaaye uss shakhs ko khud hee sanbhaaL laY gee jiss kee taraf aap naY istea'aran safha-e-qirtaas par yeh kalaam farmaaya hai...
baraah-e-mehrbaani, haamil-e-tehreer honaY kee hesiyat saY kinayaatan kee jaanaY waali guftugu kaa lub-e-lubaab ba'ma'ey saiiyaaq-o-sabaaq hashiyaa-e-kalaam maiN haasil-e-guftugu kaY taur par shaamil farmaa kar mamnoon farmaayeN taakaY sanad rahai aur ba waqt-e-zaroorat kaam aaye... saboot kaY taur par mubligh battees rupaY aaTh aanaY sikkaa raaij-ul-waqt ba zariyaa barqi-daak rawaanaa farmaayeN.. ain (bulkaY GHEN) nawaazish ho gee...