Re: What do you call your spouse?
**
hahahaha…waah…kia paaNsaa palTaa hai she’r kaa…waah! bhai…
is she’r ke peechhe iskii ek history hai…is she’r kaa pas manzar yeh hai k ek baar maiN yahaN mall meN gayaa aur ek floral shop meN dekhaa k ek do-sheeza roses ke bouquet ko haath meN liye huye dekh rahi hai aur achaanak uske haath se ek gulaab [stemmed rose] gir gayaa maiN intizaar meN thaa k jhuk ke uThaaye magar aisa nahiiN huaa…sales girl thi paas meN hii khaRii huii aur us ne uThaa liyaa
tabhi yeh she’r zehn meN aayaa…
haaye re, insaan kii majbooriyaaN! :(**