Re: Welcome Your new Mod
Muhtaram Ehsan sahab !
Main ek mu’aziz our tajurbakar rukan-e Gupshup (senior member ) honey ke naatey aap se yey darkhawast karta hoon ke Musammaat sheen ko merey sawaloon ka jawab deney per majboor kia jaye ![]()
Merey sawal apni jaga bohat ahm hain
main jan’na chahta hoon ke ye mohtarma Matric pass hian ke Matric fail ? ![]()
Takey main us hisaab se inki zihni salaheyat ke mutabik baat kar sakoon ?
Main ye bhi jan’na chahta hoon ke inka tajurba kita hia, takey main kisi bhi mas’ley ya shikayat ki sorat main in se rojou kar sakoon
tesri baat bhi bohat ahm hai, keyoon ke ek moderator ke leye Aitedaal pasand hona bohat zaroori hai , Shiddat pasand ya rij’at pasand moderator mujhey Qabil-e-qabool nahi
Umeed hai ke merey ahm sawalat ka jawab sanjeedgi se dia jayega ![]()