**aur aaKhir meN baarii hai Khudaa-e-suKhan Mir Taqi “Mir” kii ek mash’hoor-e-zamaana Ghazal ke matl’e se mar’oob ho kar Hasrat Jaipurii ne yeh naGhma qalam-band kiyaa…zabardast!
patta patta, booTaa booTaa Haal hamaaraa jaane hai
jaane na jaane dil hii na jaane, baaGh to saaraa jaane hai
ab enjoy this song by Lata and Raf’ii saab from the movie “Ek Nazar” **
**aaj ke liye itnaa kaafii nahiiN? laalach burii balaa hai logoN ne mujhe agar laalchii samajh liya to?
vaise, “yeh zulf agar khul ke bikhar jaaye to achchhaa” Ghazal poorii sunii thii? kaisii lagii? mujhe to ronaa aa gayaa kiuN k is qadar sanjeeda aur ranjeeda hai…mujhe to Bi Sanjeeda aur Bi Ranjeeda yaad aa gayiiN hehe**
ap ki song ki description parh kar asa lugrha hai jasay hum radio samat farma rahay hain:D.
achchhhaa...lolzzz...zahe naseeb! :) shukria, mehrbaanii, navaazish, karam :)