Re: Wanna be liberals!
quran ko samjh ker perhna or us per ammal kerna yeh zaroore hay ..lakin mehaz sawab k ley perhna bhi naffa say khale nahi
hadees main hai k quran k ik herf perhnay per 30 naikiyaan hain .. sawab or naikee say Allah woh noor ata ker he dayta hay jub samjh anay lagay
kufaar k pass iman nahi hai hamray buray say buray muslman k pass IMAN to hai
Allah us ko baksh rahay hain jis k dil main raayee ki barabar iman bhi baqee ho ga
Allah us ko muaaf nahi ker rahay hay jo Chand per to chala gya per imaan na la saka
mainy arz kia na TAQABUL bohat ghalat kia hai
apne kotahion ki nishandahe ka kia yehe tareqa hay k app KAFFIR per rashk kerain or kalam Allah say aqeedat ko past ker daain…