wafa

DiL jaLeGa Tu

Dil jalega to zamane mai ujala hoga
Husn zarron ka sitaron se nirala hoga
Kon jane ye mohabbat ki saza hai k sila
Hum kinare pe pohche to kinara na mila
Bujh gya chaand kisi dard bhare dil ki tarha
Raat ka rang abhi aur bhi kaala hoga
Dekhna royegi faryaad karegi dunya
Hum na honge to hamen yaad karegi dunya
APne jine ki adaa bhi anokhi sab se
apne merne ka andaaz bhi nirala hoga...!