Valentines Day....your views....

I totally agree with you. Kia Pakistan main Valentine day naheen manaya jata tha to koi propose ya izhar e mohabbat naheen karta tha.

Yay sub fazool kharchi kay chonchlay hain. Mohabbat main to insaan her waqt khilana pilana aur sub kuch karnay ko tayyar hota to aik khaas din hi bananay ki kia zaroorat hai.

Daramaybazon kay liaay aik khaas din karnay ki zaroorat hoti hai dil main mohabbat ho na ho. Chocolate ka dabba, card aur gift day kar izhar kar dia to samjh liaay huq ada ho gia.

Mujahay to yay goray intehai ahmaq lugtay hain jinko dukan walay lootnay kay liaay aik say aik drama kartay hain kabhi Christmas, Santa Clause to kabhi Valentines to kabhi holloween. In hamaqon ki taqleed bohat say musalmaan bhi kar rahain hain undhon ki tarha. Jub kay quran main baar baar mana kia gia hai in ahmaqon ki taqleed ya pairwi karnay ko.

Jin ki pairwi karni chahyay yani Muhammad SAWW ki to us ko hum nain chor dia hai aur andha dhund goron ki taqleed kiay jaa rahay hain.