VALENTINE,S DAY
Kisay khatt likhein?
kis ko rangeen sitaron
damaktay huway surkh phoolon
dharakti huwi aarzoo'on bhara
card bhejein?
bhala kis dareechay parr abb
subh say peshtar
nao shagufta gulabi kali chhor aa'ein
kisay phone karr kay bata'ein
hamein uss say kitni muhabbat hai?
woh aaghaz-e-ehd-e-muhabbat ka
maasoom naghma
woh saaz-e- ghamm-e-ishq say
phoot'ta ik tarana
muhabbat ka ghamgeen afsana
kis ko suna'ein?
'Muhabbat'
yeh ik lafz ,dill ko
buhat dard denay laga hai
muhabbat-ke jis kay faqat
hamm dareeda dilon nay
puranay zamanon mein
kuchh khwab dekhay
muhabbat-ke jis kay diay zakhm
hamm nay hamesha akelay mein chatay
muhabbat-ke jis kay bayanon say
saray zamanon say
hamm nay faqat rannj pa'ay
hamari sada---
us muhabbat kay jangal mein
girr karr kahin kho ga'ei hai
hamari hansi---
us muhabbat kay rastay mein
ik sard patharr pay
thakk haar karr so ga'ei hai
ko'ei, yadgar-e-muhabbat kay
iss sabz chamkeelay dinn mein
hamari hansi ko
kisi jagmagati kiran say
zara gudguda karr jaga'ay
andheray kay jangal say
gum gashta,ik khwab ko dhoond la'ay
jo betaab aankhein
wahan baagh mein,zard patton pay
bikhri pari hain
ko'ei un ko ja karr uthha'ay
'yeh toota huwa dill
muhabbat kay qabil hai'
ko'ei hamein bhi
yeh aa karr bata'ay!