Re: :: ussay bhool ja ::
i like it very much. :( but prince ali this is incomplete. i am posting the complete version here.....
kahan aa kay ruknay thay rastay! kahan mor tha! usay bhool ja
Wo jo mil gaya usay yaad rakh, jo nahi mila usay bhool ja
Wo teray naseeb ki barishain kisi or chat pay baras gayeen
Dil-e-bay khabar meri bat sun, usay bhool ja, usay bhool ja
Main to gum tha teray hi dhiyaan main, teri aas, teray gumman main
Saba keh gai meray kaan main, meray sath aa, usay bhool ja
Kaheen chak jaan ka rafoo nahi, kisi aasteen pay lahoo nahi
Keh shaheed rah malal ka nahi khoon baha, usay bhool ja
Kisi aankh main nahi ashk-e-ghum, teray baad kuch bhi nahi hai kum
Tujhay zindgi nay bhula diya, to bhi muskura, usay bhool ja
Kuen aata hoa hai ghubaar main, ghum-e-zindgi k fishaar main
Wo jo darj tha teray bakht main, so wo ho gaya, usay bhool ja
Na wo aankh teri aankh thi, na wo khwaab hi tera khwaab tha
Dil-e-muntazir to yay kis liyay, tera jaagna, usay bhool ja
Yay jo raat din ka khail sa, isay daikh, is per yaqeen na ker
Nahi aks koi bhi mustakil, saray aaina, usay bhool ja
Jo bisat-e-jaan hi ulat gaya, wo jo raastay say palat gaya
Usay rooknay say kia hasool, usay mat bula, usay bhool ja
To yay kis liyay shab-e-hijr k her sitaray main usay daikhna
Wo falak keh jis pay milay thay hum, koi or tha, usay bhool ja
Tujhay chaand ban k mila tha jo, teray sahiloon pay khila tha jo
Wo tha aik dariya wasal ka so utar gaya, usay bhool ja