Turn it out in Ghazal plz

Janaab aap poetest hai very nice…

Re: Turn it out in Ghazal plz

Now just waiting for Meena's reply then I will post the real one...

Re: Turn it out in Ghazal plz

Ae kash kabhi mera wo dildaar naa hota
Ae kash mujhay uss say kabhi piyar naa hota..

Ajb sa drd deke mujhay, dooor chal diya,
ae kash mujhay uss ka intizaar naa hota,

karta na jo dagha kabhi, wafaa ko thaamta,
fehrist-e-bewafa me woh shumaar naa hota,

tarpi bohat, roii bohat, uss ne naa ki fiker,
ae kash mera dil kabhi laachaar naa hota,

rehta jo mere sath woh saae ki tarha gar,
dil me bhara dukhon ka phir ambaar naa hota,

manjdhaar beech chhorr ke jaae jo bewafa,
Allah ray! Koi aisa wafadaar naa hota,

Wada kia, khaai qasam, tora mera yaqee,
Ya Muqtadir! Mera sanam fankaar naa hota,

Maloom na tha, isqadar badal woh jaae ga,
Behtar tha, apne darmiyaan izhaar naa hota,

Aata nahin jo meri zindagi me kabhi woh.....
..dil uss ke piyar kaa bhi talabgaar naa hota,

kat jaati saari umr, muhabbat me, piyar me..
aashiq jo mera jhoot peh sawaar naa hota,

woh laut naa aaya, raha da’wa mera qaaem,
vrna to mujhay khud peh ikhtiiyaar naa hota,

hota jo paikar-e-wafa her ikk bashr yahan,
to meri tarhaa phir koi khuuwar naa hota,

dil ki khuuli jo rehti na khirki tamam umr…
...khatkaa tri aamad ka baar baar naa hota,

suna hay, uske charchay hen, doojay sheher me abb,
ae kaash koi doosra shiikaar naa hota!

Chahta mujhay who isqadar, na hosh me rehta,
Ranjish rahi, mera sanam ghaddar naa hota,

Jaatay me thori roshni ki aas jo deta,
Tanhaaiiyyon me jeena bhi dushwaar naa hota,

Gaya jo, laga rog bhi, bdnaam bhi hoii..
Meena ka kaash koi raazdaar naa hota!!!

Re: Turn it out in Ghazal plz

very nice meena

thanx

i will take this as compliment :) thanx

Excellent Meena g..

Re: Turn it out in Ghazal plz

Now real one please:

Aie kaash kabhi mera wo dildar na hoti
paa laita ousay, shohrat ki gar talabgaar na hoti

Jalway teray husan key daikh jo paati
tou yeh duniya meri baaton say aazaar na hoti

yaa aankhain na hotin ya yeh dil he na hota
ya soorat teri husn say sarshaar na hoti

jitni bhi rafaqat thi faqat meri wafa thi
warna teri marzi say ik baar na hoti

ghairon ki taraf teri bari nigah-e-karam thi
aie kaash raqeebon ki bhi yalghaar na hoti

shaayed main zindagi ko baray dhang say jeeta
soorat teri gar barsar e paikaar na hoti

kuch tera gharoor tha kuch meri anaa thi
aie kaash kabhi kismat bhi bezaar na hoti

hota jo "Raza" haath main insaaf ka parcham
tou tu bhi kabhi payaar ki haqdaar na hoti

Regards,

Ahmed Raza

Re: Turn it out in Ghazal plz

this is even really good :) wese logo logo batao kis ki best thi ?? :D chahy meri buri bhi ho, i will not mind per mujhay batao.....

Ok g ur was good. By the way I am not poet and I don't need any appreciation in this regard. Its just part of game...dear..:)

Re: Turn it out in Ghazal plz

oho...hurt? shorry... i never meant like that... ok your poem was superb... :D really, ok but try my poetry taking it as yourself, like hoti hoti... puri poem meri hoti hoti ker ke parhen... bus faraq ye hoga ke a girl would think a pathan wrote the poem hehe :D

Re: Turn it out in Ghazal plz

Both r nice... n awesome...

PrAyErSS... & BlEssInGss...

Re: Turn it out in Ghazal plz

both are raelly nice..
keep it up guys

Re: Turn it out in Ghazal plz

Thanks for appreciation...guys...

hahaha gud joke. N no need to say sorry because I don't mind either urs good or mine doesn't matter for me because

"jis k liye likhtay thai wo mujh main nahi baaki"
"ab likhain tou kia likhain kisi shaam yeh sochain gay"

Re: Turn it out in Ghazal plz

muqarrar.....:D

Halla g...????

Re: Turn it out in Ghazal plz

ye kia tha? mene shair muqarar ka kaha tha ji...

socha pia te band gia zihda sochna nahi

Or jo banda socnhay say pehlay he gaya ho????????
Advise plz...

Chalain g aap nay kuch kaha ham nay kuch...