Re: Tumhein dillagi bhool jaani pare gi - NFAK
love this...one of his many great songs. havent heard it in a long time. thanks for sharing.
Tumhain dillagi bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo
Tarapnay pay meray na phir tum hansoo gay
Kabhi dil kissi say laga kar tu daikhoo
hountoo k pass aaiay hansi kia majal hay
Dil ka maamla hay koi dillagi nahi
zakaham pay zakham kha kay ji
apnay lahoo k ghoont pi
aah na kar laboon ko si
ishq hay dil lagi nahi
dil laga kar pata chalay ga tumhain **
**Aashqi dillagi nahi houti
kuch khail nahi hay ishq ki laag
paani na samjhiay aajj hay aag
khoun rulaiay gi yeh lagi dil ki
khail samjhoo na dil lagi dil ki
yeh Ishq nahi aasaan **
**bas itna samjh li jiay
ek aag ka darya hay aur koud kar jana hay
Tumhain dillagi bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo
Tarapnay pay meray na phir tum hansoo gay
Kabhi dil kissi say laga kar tu daikhoo
wafaoon ki ham say tawaqo nahi hay
magar aik baar aazma kar tu daikhoo
zamanay ko apna bana kar tu daikha
humain bhi tum apna bana kar tu daikhoo
khuda k liay chour do ab yeh parda
rukh say naqab utha keh bari dair ho gaiee
mahool ko talawat-e-qura\'an kiay huway
ham na samjhay teri nazroon ka taqaza kia hay
kabhi parda kabhi jalwa yeh tamasha kia hay
jaan-e-jaan ham say yeh uljhan daikhee nahi jaatee
khuda k liay chour do ab yeh parda
keh hain aajj ham tum nahi ghair koi
shab-e-wasal bhi hay hijaab is qadar kion
zara rukh say aanchal utha kar tu daikhoo
jafaian bohat ki boohat zulam dhaiay **
*kabhi ek naga-e-karam is taraf bhi *
*humaisha huway daikh mujh ko barham *
**kissi din zara muskura kar tu daikhoo
jop ulfat main har ek sitam hay gawara **
**yeh sab kuch hay pass-e-wafa tum say warna
satatay hoo din raat jis tarhaan mujh ko
kissi ghair ko youn sata kar tu daikhoo
agar cha kissi baat par woh khafa hain **
**tu acha yeh he hay tum apni si kar loo
woh manain na maian yeh marzi hay un ki **
**magar un ko pur nam mana kar tu daikhoo
Tumhain dillagi bhool jaani paray gi
Muhabbat ki rahoon main aa kar tu daikhoo
heartfelt lyrics and voice!! wah!