Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
na ruha junoon-e-ishq-o-wafa, yey russun yey daar kurrogay kia
jinhain jurm-e-ishq pay naaz tha woh gunahgaar to chullay gaaey
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
na ruha junoon-e-ishq-o-wafa, yey russun yey daar kurrogay kia
jinhain jurm-e-ishq pay naaz tha woh gunahgaar to chullay gaaey
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
*Wo aur hoan ge keh jin ko Amjad naye manzar ki chah ho gi
mei uss ke chehre ko dekhta tha,mei uss ke chehre ko dekhta hoon
*
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
**
Safar ko nikley thay hum jiss ki rahnumaii per
woh ik sitaara kisi aur aasmaan ka tha
**
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
Zabt ka ehad bhi hai, shoq ka peemaan bhi hai
ehad_o peemaa'n se guzar jaane ko jee chahta hai
dard itna hai keh har rag mei hai mehshar barpa
aur sakoo'n aisa keh marr jaane ko jee chahta hai
(Faiz Ahmed Faiz)
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
Raah-e-wafa kay musafir ko koun samjhaye
keh iss safar maiN koi hamsafar nahiN milna
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
*Dil tu kiya hum rooh mei utrey hotey
tum ne chaha hi nahi chahney waaloa'n ki tarah
*
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
YooN hi mousam ki ada dekh ker yaad aaya hay
kiss qadar jald badal jaatey haiN insaan jaanaaN
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
^ one of my fav poems :-)
*Itne majboor hain hum apni ANA ki khaatir
reza reza bhi huey aur bikhrey bhi nahi
*
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
kab ki putthur hoo chukki thi muntuzzir aankhain muggur
choo kay jab dekha to meray haath geelay hoo gaey thay
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
YooN bhi hoga woh mujhey dil se bhula dey ga mager
ye bhi hoga khud ussi maiN aik khalaa reh jaaye ga
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
Phir tu ne cheR di gayii sa`atoN ki baat
woh guftugu na ker keh tujhey bhi malaal ho
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
Hamein bhi dukh tu bohat hai magar ye jhoot nahi
bhula na dete usse hum, tu marr gaye hotey
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
Jo aik nazar ki junbish se sab dil ki basti looT gaya
woh jis se aankheiN chaar hoven aur haath se saghar choT gaya
dil uss ka bhi hay mera bhi hay faraq ~Shakeel~ itna lakin
woh pather hay jo sabit hay, ye sheesha tha jo TooT gaya
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
*JaaNey koN tha bheegtey mausam mei muNtazir
kal raat der tak koi khirki khuli rahi :-(
*
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
For maheen ![]()
Teri yaadoN se mehek uThti hay yooN tanhayii
Dil kay sehra maiN koi phool khila ho jaisey
ab tou naraz nahin ho na? :PPP
Re: ~tumhe yaad ho ke na yaad ho~
sachi? ![]()