Mera dard kaise wo jaanta,meri baat kaise wo maanta
wo tu khud fana ke safar mei tha,usey rokna bhi mahaal tha
dam-e waapsi usay kiya hua na wo roshni,na wo taazgi
wo sitara kaise bikhar gaya,wo tu khud aap apni misaal tha
jalaye rakhoon gii subah tak mei tumhare raastoan mei apni aankhein
magar kaheen zabt toot jaaye tu baarishein bhi shumaar karna
tum apni majbooriyoan ke kisse zaroor likhna wazahtoan se
jo meri aankhoan mei jal bhuji hain,wo khawahishein bhi shumaar karna...
ye bhi theek hay woh chala gaya mujehy band raastey pe chor keh
woh judaa bhi kaise hova keh mein koi rasam bhi na nibha saka
na mein paas uss ko bula saka, na dil ki baat bata saka
woh hunsi hunsi main chal diya, mein haath tuk na nila saka
jab aankhein baagi ho jayein aur yaad mei meri bhar ayein
phir khud ko dhoka matt dena aur chupke chupke ro lena
jab palkein karb se mondii hoan aur sab samjein tum sotey ho
tab moo’ per takiya rakh lena aur chupke chupke ro lena…
yoo’n dil ko har ik shahs pe wara nahi kartey
aankhoa’n mei har ik aks utaara nahi kartey
kajal se bhi ab koi kaam lo naa saheli
yoo’n dard se aankhoa’n ko sanwara nahi kartey…