Re: Tu mere qaabil nahi hai main tere qaabil nahi
Let me try.. iss se pehle ke ye tanaa aae… CM help nahin karta ![]()
aap ne Sajjad Ali ka gana suna hai.. Chal uR ja bholiya panchiya… agar nahi suna to sun len..
shayar dayar e ghair (ajnabi mulk) ko keh raha hai bye bye.. me going homeland… aabad veeranay (ajnabi mulk ki ronaq bhi veerani lagti hai) main yahan ghabraata hoon, teri ronaqen mujhe achi nahin lagti, mera dil behla nahi sakti ![]()
second shair main shair kuch KKF ki Urdu ke asar main jakRa nazar aata hai… lekin in short ajnabi mulk ki mehfilen bhi shayar ki afsurdugi (depression keh lo) kam nahin kar pai.. iss liye shair ne ajnabi mulk ko kaha ‘Tu mere qabil nahin main tere qabil nahin’
Baqol Sajjad Ali : Teri boli nahin koi janta, tujhe apna nahin koi manta
Beganon ki basti choR ke, ghairon se nata toR ke…