laghzishon se mubarra tu bhi nhi main bhi nhi
dono insaan hain,khuda tu bhi nhi mai bhi nhi
tu mujhe or main tumhain ilzaam deta hun magar
apne andar jhankta tu bhi nhi main bhi nhi
maslihat ne paida ker dia dono main ikhtlaaf
werna fitrat ka bura tu bhi nhi main bhi nhi
mukhtalif simmeton mai dono ka safar jaari raha
ikk lamhe ko ruka tu bhi nhi main bhi nahi
chahete dono hain ikk doosre ko magar
ye haqiat dikhlata tu bhi nhi main bhi nhi…