**** Tou Kuch Aur Baat Hoti****

Re: **** Tou Kuch Aur Baat Hoti****

**This is also a mukhda of …Hindi Film song

Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti **

Lyrics by : Hasrat Jaipuri, Singer - Md Rafi

Unki zulfien unke chehre se hata sakta nehi (kyonki ab wo parayi hain)
Dil ki betaabi kisi surat chhupa sakta nehi ( magar apni feelings bhi nehi chupa sakta)

Kitni dilkash hai mahobat ki jawan majbooriyan
Saamne manzil hai aur paanv bhada sakta nehi ( wo samne hai …fir bhi baat nehi kar sakta)

Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
to kuch aur baat hoti
Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
to kuch aur baat hoti
Yeh naseeb jagmagaate to kuch aur baat hoti
to kuch aur baat hoti

Kayi baar mil chuki hai yeh haseen haseen nigahen ( know each other )
Kayi baar mil chuki hai yeh haseen haseen nigahen
wo hi bekarariyan hai na mili khushi ki raahien ( wahi purani bekrari hai tumhare liye)
mere dil se dil milaate to kuch aur baat hoti
to kuch aur baat hoti
Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
to kuch aur baat hoti

mujhe kya garaz kisi se hasse phool ya sitare ( mujhe kya duniya ki khusiyon se)
mujhe kya garaz kisi se hasse phool ya sitare
Hai meri nazar mein feeke yeh jawan jawan nazare ( mere liye to sab bekar hai)
Agar aap muskurate to kuch aur baat hoti ( kyonki aap mere saath nehi )
to kuch aur baat hoti
Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
to kuch aur baat hoti

Yeh khushi rahe salamat yuhin jashan ho suhana ( tum per khushiyan bani rahi)
Yeh khushi rahe salamat yuhin jashan ho suhana
jisse sun rahi hai duniya mere dil ka tarana ( yeh mere dil ki tamnna hai )
mere saaath tum bhi gaate to kuch aur baat hoti ( "fir bhi " tum saath hote to kuch baat hoti)
to kuch aur baat hoti
Meri zindagi mein aate to kuch aur baat hoti
to kuch aur baat hoti

Yeh naseeb jagmagaate to kuch aur baat hoti
to kuch aur baat hoti