Toronto Guppie Meet

Nahi nahi. Meri Urdu bohat Salees hay aur mujhay apki Saqeel Urdu sun kar sar e nigoon honay ka kowee shoq nahi hay. Baray meharbani yeh intiqaami karwaee kay liyay kisi aur mazloomon ki mehfil ko sairaab karain.

Aur waisay bhi, apkay musalsal bazid honay par Jia nay badil e nakhuasta apkay liyay ek adad danday ka intizam kia hay. Ummeed hay kay ap Aftar party kay ikhtitam par “Umda Iftar party kay in-eqad karwanay waloon kay” usi tarah say mamnoon hongay jis tarah say ap abhi lag rahay hain…:stuck_out_tongue:

Oh well…Two more days !! :party: