‘tolerance’ ke naam pe apnii rivaayaat/saqaafat/deen se inHiraaf kaa duusraa naam hai vaise hii jaise aajkal ‘Judgemental’ ke naam pe insaan ko tajziyaatii 'amal se man’a kiyaa jaataa hai. ab buraa ko buraa na kaho to aap raushan Khayaal gumaan kiye jaayeNge varna tang zehn aur makeen e taareekii kahlaayeNge.
Hai’f, sad Hai’f!