Tabhi To Mein Muhabbat Ka Hawalaati Nahi Hota,
Yahaan Apne Siwa Koi Mulaqaati Nahi Hota,
Or Ab Iss Baat Par Bhi Mujh Se Mere Yaar Ulajhty Hian,
K Mian Harr Baat Sun Leta Hoon Jazbaati Nahi Hota,
Giraftaar E Wafa Rone Ka Koi Aik Mosam Rakh,
Jo Nala Roz Beh Nikle Wo, Barsaati Nahi Hota,
Tujhe Dil MiEn Jaga Di Hia, Nazar Se Door Kya Karte,
Jo Markaz Mein Thehr Jaaey, Mazafaati Nahi Hota,
Bicharny Ka Iraada Ho To MUjh Se Mashwara Karna,
Muhabbat Mein Koi Bhi Faisla “Zaati” Nahi Hotaa..