Timepass

Re: Timepass

aaj kal ke chottey chottey bach'chey aesey hi heiN :)

Re: Timepass

choti si main bachi hon…:aisha:

Re: Timepass


*
Aseer-e-Dasht-e-Blaa ka na maajra kehna..
Tamam pochney walo'n ko bas Dua kehna..

Ye kehna Rat guzarti hai ab bhi Aankho'n mein..
Tumhari Yad ka Qaim hai silsala kehna...

Ye kehna chaand uterta hai Baam per ab bhi..
Mager naheen woh shab-e-mah ka maza kehna..

Ye kehna ham ne hee Toofa'n me dal di kashti..
Qasoor apna hai, Daryya ko kya bura kehna..

Ye kehna haar na mani kabi Andhero'n se..
Bujhey charagh to Dil ko Jala lia kehna...

Ye kehna Tum se bicher ker Bikher gaya Tishna...
Keh jaisey Haath se gir jaye Aaina kehna ...
*

Re: Timepass

boht khob :k:

Re: Timepass

Lovely :k:

Re: Timepass

:salam:

Kabee kabee hum ko bee Shayree ka showk ajatha hain…

Ishq Ne hame Benam kar Diya
Har Khushi se Anjan Kar diya

Hamne Khbhi Nahi chaha Ki Hame Ishq Hu
Par unki Ek Nazr ne Hume Nilam Kar Diya

:hayaa:

Re: Timepass

wow…:clap: :k: :lajawab:

ap humary cafe main tashreef laye hum ap ko :welcome: kehty hain.

Re: Timepass

wow…:k: … kabhi, kabhi kiuN aata hey…jaldi, jaldi aana chahiye :slight_smile:

Re: Timepass

Aap ka bohat shukriya :@:

Re: Timepass

ab ap aatay raha karain yahan...humain pata chal gaya ke ap boht achi achi poetry share karain ge humary sath :)

Re: Timepass

Baar baar ik ghar ke mehmaan ko kown pasaand kartha hain...

Jo mehmaan kabee kabee aye usko saab chathay hain... :)

Chaltay chaltay yeh gorak dhandha saab dekha maine

lekin shayree ka faan naheen seekha maine...

kis ko sunao dil kee dastaan, jab naheen hain meray paas aysee zubaan. :)

Re: Timepass

Hum pasand kartey heiN...lehaaza idhar aap roz, roz aaya kareiN :)

Re: Timepass

ap to baat bhi baray shaiyarana andaz main karty hain....:)

Re: Timepass

Aaap ka shukriya. :naak:

I never thought I was worthy of such lofty company. brushes himself down

Re: Timepass

bilkul sahi kaha…:lifey: ab to inkar nai banta Faris bhai:)

Re: Timepass

Nahi ab to aap ko aana hi parrey ga bas :smash:

Re: Timepass

i m having the feeling that my bed is vibrating...dont know whats this...kuch din pehlay jab aisa hoa tha to............:(

Re: Timepass

Zaroor :salute:

Allah khair karien this does not sound good…

Khuda karam karien sub par… read Surah Yaseen it will help overcome trouble.

Re: Timepass

*
Pal bhar mein tamaam umer ki sochain badal jaati hain
Jin raahoon per chalte hain wohi raahain badal jaati hain

Karne ko kya nahe kartay log muhabbat mein
Sirf hamare leye hi kyon rasmain badal jaati hain

Woh aisa hai ke us ka naam sun'ne ke tassavur se hi
Hamari tamaam tar saa'attain badal jaati hain

Sochti hoon jane kaise keh paungi mein us se
Milti hoon tau dil ki saari baatain badal jaati hain

Chahay manzil dushwaar ho aur door bhi
Hamsafar us jaisa ho tau musafattain badal jaati hain

Yun tau raat ka aalam haseen hota hai madhosh bhi
Magar chaand dekhun tau meri raatain badal jaati hain

Mat chaaho ke mujhe aadat nahe itna chahanay waloon ki
Yeh na ho log kahain jald hi aadattain badal jaati hain ...

*

Re: Timepass

Bohat khoob :k: