Yeh dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
Tum apna naam na likho gumnaam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhai hai lekin
Tamaam umer na likho ek shaam hi likh do
Zaroori tau nahe ke mil jaye sukoon kisi ko
Sar-e-bazm na aao magar benaam hi likh do
Yeh jaanta hoon ke umer bhar tanha rehna hai mujh ko
Magar pal do pal ghari do ghari mere naam hi likh do
Chalo hum maan letay hain saza ke mustahiq thehray
Koi in’aam na likho koi ilzaam hi likh do …