Re: ----> TimePass
Ur Poem..
Titliyon Kay Mousam Main Nochna Gulabon Ka Reet Iss Nagar Kii Hai Aur Jaanay Kab Say Hai Dekh Kar Parindon Ko Baandhna Nishaanon Ka Reet Iss Nagar Kii Hai Aur Jaanay Kab Say Hai
Tum Abhi Naye Ho Na Iss Liye Preshaan Ho Aasmaan Ki Jaanib Tum Iss Tarah Say Mat Dekho Aaftain Jub Aanii Hon, Tootna Sitaaron Ka Reet Iss Nagar Kii Hai Aur Jaanay Kab Say Hai
Iss Shehar Kay Bashinday Nafrton Ko Bou Kar Bhi Intezaar Kartay Hain Fasl Ho Muhabbat Kii Chorr Kar Haqeeqat Ko Dhoondna Saraabon Ka Reet Iss Nagar Kii Hai Aur Jaanay Kab Say Hai
Ajnabi Fizaaon Main Ajnabi Musaafir Say Apnay Har Taaluq Ko Daaimii Samjh Laina Aur Jub Bicharr Jaana Mangnaa Duaaon Ka Reet Iss Nagar Kii Hai Aur Jaanay Kab Say Hai
Khamoshi Mera Shewaa, Guftugoo Hunar Unkaa Meri Be-Gunaahii Ko Log Kaisay Maanain Gay Baat Baat Peh Jub Kay Mangnaa Hawaalon Ka Reet Iss Nagar Kii Hai Aur Jaanay Kab Say Hai
:)
oooops............
thanks aloooooooooooooooot redidentity,i really dont know how to express ...
anyway thanks alloooot again for this:):):):):):)