Re: Timepass - October 2013
yeah…Qur’aan meN aayaa hai na…Khaalatokum!
Khaaloo kaa nahiiN pataa!
Re: Timepass - October 2013
yeah…Qur’aan meN aayaa hai na…Khaalatokum!
Khaaloo kaa nahiiN pataa!
Re: Timepass - October 2013
it is used widely along with bali…news meN to bahot aataa hai k “veer sainik ne apne praaNR tyaag kar apnii aahootii de di” ![]()
Re: Timepass - October 2013
hai to Arabic word… we use Maasi for Khala in Sindh as well.
Re: Timepass - October 2013
so, there is a slight difference then…Hindi meN to mao-sii kahte haiN…maasii = nakaraanii/Khaadima…right?
Re: Timepass - October 2013
I heard balli most of the times… How they give news of Muslims doing Qurbani on Eid in Hindi News?
Re: Timepass - October 2013
Maa-si = Maa jaisi
Re: Timepass - October 2013
tabhi aap PA main pur-sukoon rehte ho
Re: Timepass - October 2013
koshish karta hoon, lekin mushkil ho jaata hay jab faisla karna parray kay konsa shehar kis ko daina hay ![]()
Re: Timepass - October 2013
aise hii k…“aaj saare desh meN musalmaanoN ne bakra eid par apne paigambar Ibrahim [a.s.] par kurbaaniyoN kii bheNT chaRhaaii”…lol k for Q and bakra for baqra lol
maaN sii to hai magar maasii naukaraanii ko bhii to kahte haiN na?
**
ek lafz hai Urdu meN us aurat ke liye jo aapke ghar meN khaanaa vaana banaatii hai…vo kia lafz hai? you will be surprised if you never heard that word before…TRY!**
Re: Timepass - October 2013
dharti ho maan jaisi
Re: Timepass - October 2013
Dharti to hoti hai maa jaisi hai… khilati bhi hai aur gaud main sulati bhi hai
Re: Timepass - October 2013
Mamaa bhi ek lafz hota tha.. Deputy Nazeer Ahmed ke novel ‘Mirat ul uroos’ main ek haamkhor Mama Azmat bhi thi
Re: Timepass - October 2013
aur dhartii maaii khaa bhii jaatii hai…isko kia kaheNge? saaNp jo apne sapoloN ko khaa jaataa hai? ![]()
Re: Timepass - October 2013
haN na…**Kans Mama aur chandaa maamaa **[chandaa maamuuN among Muslims] to sab se ziyaada mash’hoor hai…Hindi maamaa = maamooN in Urdu ![]()
India meN corrupt police waale ko maamaa aur jin ko maamuuN kahte haiN
Pak meN bhii aisaa kahte haiN? ![]()
Re: Timepass - October 2013
mitti ko mitti banane ka amal aur hai :halo:
Re: Timepass - October 2013
Pakistan main police walon se koi rishtadari nahin ganthta ![]()
Re: Timepass - October 2013
yeh baat bhii bajaa farmaayii aape ![]()
Re: Timepass - October 2013
to yeh maamaa kaun se achchhe maamaa ke nisbat se kahaa jaataa hai lol
police = Kans MaamaaN ![]()
Re: Timepass - October 2013
Lagta hai karachi mein phir halkay say baarish howee. ![]()
Re: Timepass - October 2013
Ji nahin.. sooraj billa nagha nikalta hai.. UK ke sooraj ki tarah kam chor nahin ![]()