Re: Timepass - October 2013
700k pe done
750k maangte thay
last 725k pe arre huye thay
but baad mein 700k final
680k kal dene hain
actually hua kiya k
Main ek showroom mein gaya wahan gaariyan lagi hui thin
1 cuore dekhi Mujhe Unho ne 750k bataya aur kaha k kuch riaayat ho jaaye gi
Maalik se mila to woh kehta cultus 07 model le lo sasti hai cuore se
yeni 550k
Maine woh bhi check ki lekin cuore ka number pasand aa gaya tha
lihaza Us ka dil na bana
Main wahan se ghar aa gaya
itne mein driver ka phone aaya k
aao gaariyan check kar aain
Maine use bataya k falan gaari dekhi hai
aur pasand aai hai bawajood touching k
bcoz of number
Us ne kaha theek hai
wohi mangwa lete hain
lihaza Hum kal wale showroom mein chale gaye
Unko kaha k falan jaga falan gaari dekhi hai
woh mangwao
un logon ne calls waghera kar k car mangwai
Hum ne dekhi
car aane se pehle guftagoo chalti rahi
showroom ka maalik kehta k Main multan jaa raha hoon
bilfarz Aap ko woh cuore pasand nahi aati
to Mere saath chalein
wahan se le aate hain
lekin Maine kaha woh cuore aane do
baaqi baad mein