Re: Timepass March 2015
Yes you can and that’s a difficult topic, hm ![]()
**
Jab soch soch main thak jaata hon
Girta sanbhalta phir ghar aata hon
Meri behna pochy bhaiya bhok lagi
Wo jo deti khana to phir khata hon
Thak gaye hoge wo kahti mujh sy
Kanbal deeti to phir so jaata hon
Wo ghar ka humary roshan chiragh
Wo hoti jab pass to khill jaata hon
Maan meri ab rahti hai beemar
Dabati usko to sakoon pata hon
Saalgira hai ub us ki door nahi
Jaib ko dekh sharma jaata hon
Wo rakhti kitna khush hai sabko
Main andar hi andar mar jaata hon**
- StrangeWorld