Na Mein Tum Se Koi Umeed Rakhoon Dil Nawaazi Ki
Na Tum Meri Taraf Dekho Ghalat Andaaz Nazron Se
Na Merey Dil Ki Dharhkan Larhkharhaaye Meri Baaton Mein
Na Zaahir Ho Tumhari Kash Makash Ka Raaz Nazron Se
Taaruf Rog Ho Jaye To Us Ko Bhulana Behter
Taaluq Bojh Ban Jaye To Us Ko Torhna Acha
Wo Afsaana Jisey Takmeel Tak Lana Na Ho Mumkin
Usey Ek Khoob Soorat Morh De Kar Chorhna Acha
Tumhain Bhi Koi Uljhan Rokti Hai Pesh Qadmi Se
Mujhey Bhi Log Kehtey Hain Ke Ye Jalwey Paraaye Hain
Merey Hamraah Bhi RuswaaiyaaN Hain Merey Maazi Ki
Tumhaarey Saath Bhi Guzri Hoyi Raaton Ke Saaye Hain
logoon ko ---------- unki batoon ko
rishtoon ko ---------- natoon ko
nidhhaal aor kamzoor lamhoon ko
namunasib aor talkh yadoon ko
mazi ki talkh haqeeqatoon ko
beetay howay lamhoon ki dukh bari batoon ko
behti hoie ankhoon kay aansoo’on ko
kesi ki yaad mein jaaag kar guzari hoiee ratoon ko
bhoolna parhta hay hamien bhoolna parhta hay
kyo kay
waqat kay sath samjoota karna parhta hay
orooon ki khushi kay liaye
hamien talkh mazi, dukh baray lamhoon, aor yadooon ko bhoolna parhta hay
na chahtay howay b zinda rehna parhta hay
hamien bhoolna parhta hay**