Timepaas

Re: Timepaas

*vo faaKhtiyoN kaa shikaar karne gaye haiN...paiGhaam ho to de dijiye :) ;)
*

Re: Timepaas

Un sey kahiye ga ke aaj tak koi faaKhta shikaar hui bhi ya bas yuNhi chehal-qadmi kar ke waapis aa jatey heiN? :D

Re: Timepaas


**
ok janaab kah abhii mobile pe fone kar ke kah diyaa...unkaa jawaab hai k ab "vo din gaye jab Khalil khaaN faaKhta uRaayaa karte the", ab to vo faaKhtii ko rassii se baandh ke shikaar karte haiN vo bhi apni masnad pe baiThe baiThe...nawwaab-e-Lukhnau haiN, koii mazaaq to nahiiN ;) hehe**

Re: Timepaas

Nawab sahab sey kahiye ga ke ye to sara-sar zulm hey ... birds rights waaloN ko pata chal gaya to muqadama ho jaey ga...phir kotawali ke chakkar laganey parreiN ge.

Re: Timepaas


**
nawwaab saaHab kaa Khayaal hai k faaKhtiyoN kii ta'daad ab bahot ziyaada ho gaii hai, bil_Khusoos "par kaTiyoN" kii...unkaa kam honaa hii bahtar hai...kam se kam do waqt ke khaane kaa sahaaraa to haiN...aajkal nawwaabii daur 'aalam-e-kas-ma-pursii men jee rahaa hai...naam baRe, darshan chhoTe! :(**

Re: Timepaas

"Baat to sach hey magar baat hey ruswaai ki" :D

Re: Timepaas

baat bhii to hai "shinaasaaii" kii ;)

Re: Timepaas

[quote=“Khalil KhaaN FaaKhta, post:107, topic:216458”]

**
hmmm…jab us meN tire nahiiN hai to mujhe pataa hai k uskii kia dur-dashaa hogii…merii maaneN kuchh paise lagaa kar use bech leN hahaha**

janen dain khalil g,agar kuch paise hotey to nai na le leti :barbie:

Re: Timepaas

nai bikul mumkin nhi hai...wo kisi soday main masroof hain :D

Re: Timepaas

agar itni pasli nhi thi toh kiun itna barra kaam kia :cb:

Re: Timepaas

**
haaN, yeh to hai…vaise, cycle kahan chalaayaa kartii thiiN? pahaaRoN kii choTiyoN pe? hehe**

Re: Timepaas

MeiN ney kya kia? MeiN to Khalil bhai aur unki faakhta ke muaamley pe rawaaN tabsira dey raha tha bas :frowning:

Re: Timepaas

Kya ahl-e-GS aaj harrtaal pe hein????????????? :(

Re: Timepaas

ahl e GS maHv e Khaab e naaz haiN...:)

Re: Timepaas

AOAO just peeking and saying HI :wave:

Take care its weekend :smiley:

Re: Timepaas

slam every one.

Re: Timepaas

mene apke sher ka jawab dia tha :barbie:

Re: Timepaas

w salaam...maiN bhii Haazir-e-Khidmat huN...ajii koii hai? :)

Re: Timepaas

:wsalam:
loh jee aeyin aur garam garam :chai: nosh farmayein.

Re: Timepaas

:salam2:

:@: