Re: ****Time passssss *** October
bahut gahri baat kah di shrimaanji…abhi haal hi mai mere eik senior ki fb post dekhi…unke eik bachpan ke mitra ne suicide kar liya tha..wajah thi ki uski police me training ke dauraan uske tutlaane ka saathiyo ne khoob majaak banaya tha..kabhi kabhi mazaak bahut khatarnaak ho jaata hai..hame kisi ki kamzori, pahnave ya aisi kisi cheez ka mazak nahi banana chahiye..anjaane mai kiya gaya mazaak jaanleva bhi ho sakta hai..hansi mazak jo sabko khush kare wo hi sahi hai.