*ye shab-e-firaq ye bebasi hain qadam qadam pe udaasiyaa’n *
meraa saath koi na day saka meri hasaratain hain dhuaa’n dhuaa’n
*main tarap tarap kay jiyaa to kya meray Khvaab mujh se bichhar gaye *
*main udaas ghar kii sadaa sahii mujhe day na koi tasalliyaa’n *
chali aisi dard kii a’andihiya’n meray dil ki bastii uja.r gaye
*ye jo raakh si hai bujhi bujhi hai isi main meri nishaaniyaa’n *
*ye fizaa jo gard-o-Gubaar hai meri bekasi ka mazaar hai *
main vo phuul huun jo na khil sakaa merii zindagii main vafaa kahaan