Time Pass

Re: Time Pass

Aapki Iss Baat Par IMMu bhai aik ghazal de raha hon umeed hai u vl agree n like it

zara mehfil ko saja do mujhe ghar jana hai
abhee baitha hoo'n zara jum kay magar jana hai

bhalay logo'n kee dua say woh abhee zinda hai
usay aa'mal to kehtay hai'n kay mar jana hai

yu'nhee mehfil say bina poochay chalay aatay hai'n
hamai'n poochai'n to sahee aap agar jana hai

baray aaram say baithay ho saja kar mehfil
kabhee socho to zara tum ko kidhar jana hai

kabhee rato'n ko uttha tha mere dee'n kee khatir
wohee sub haal mujhe aaj bhee kar jana hai

mujhe duniya mai'n abhee aaj sudharna hoga
nahi'n kal ko yeh musafir yeh safar na hoga