Re: ٹائم پاس ماہ جون - Time Pass June 2014 - الوقت ممر يونيو
manji to halki thi.. ek hath se uth gai… 3 by 6 ki folding wali.. wohi pipan wali… Water pump pe 3100 ki de raha tha.. final 2800 tak aaya. phir main Lalu khet chala gaya.. usne 3 variety dikhai.. achi wali ke 3200 kahe.. maine kaha munasib karo.. kehne laga 2600. sub ka time hai bismillah kar raha hoon. maine kaha itne ki to Water Pump se bhi mil rahi hai.. kehne laga unka hamara maal alag hai.. hum whole seller hain.. Maine kaha whole seller ho to sasti do… usne kaha aap batae.. maine kaha 2000. kehne laga itni to hamen supply main nahin aati.. na aapki na meri 2200… maine kaha nahin 2000. kehne laga yaqeen maane itne ki nahin paRti. maine kaha water pump se to rikshaw wala kam paise leta. yahan se to ziada le ga. kehne laga acha aap rikshaw ke 100 na do.. phir 2100 main baat bani. rikshaw wala manhoos 120 mang rah tha. maine kaha yahan se 60 munasib hai.. 4-5 kilo meter k to taxi wala bhi itne nahin leta. finally 80 rupe liye usne. to kul mila ke chung chi ka 20 rupiya jate huwe aur rikshaw ka wapsi main 80 rupe.. 100 rupe ki transport aur 2100 ki charpai..
per mujhe lagta hai charpai ke liye ek aadh aur dukanen dekh leta.