Re: Time Out
abhii bhii karte haiN ‘aadaab aur tasleem’ magar merii to aajtak yeh baat samajh meN nahiiN aayii k Allahabad meN aurtoN ko aadaab/tasleem aur mardoN ko salaam kiuN karte haiN? hai na yeh bhii ek 'ajeeb o Ghareeb baat…
…ab afsos ke saath kahnaa paR rahaa hai k salaam kii jagah Hi/Hello lene lagii hai…kuchh log to GS par salaam kii bajaaye ‘PEACE’ likhte haiN…kia salaam ab ‘daqyaanoosii’ ho gayaa? ![]()